Poet
Saail Dehlvi
سائل دہلوی1867–1945
Poems
- اڑا سکتا نہیں کوئی مرے انداز شیون کوبمشکل کچھ سکھایا ہے نوا سنجان گلشن کوuṛā saktā nahīñ koī mire andāz-e-shevan kobamushkil kuchh sikhāyā hai navā sanjān-e-gulshan ko
- امانت محتسب کے گھر شراب ارغواں رکھ دیتو یہ سمجھو کہ بنیاد خربات مغاں رکھ دیamānat mohtasib ke ghar sharāb arġhavāñ rakh dīto ye samjho ke buniyād ḳharbāt-e-muġhāñ rakh dī
- بسا اوقات آ جاتے ہیں دامن سے گریباں میںبہت دیکھے ہیں ایسے جوش اشک چشم گریاں میںbasā auqāt ā jāte haiñ dāman se garebāñ meñbahut dekhe haiñ aise josh-e-ashk-e-chashm-e-giryāñ meñ
- جتاتے رہتے ہیں یہ حادثے زمانے کےکہ تنکے جمع کریں پھر نہ آشیانے کےjatāte rahte haiñ ye hādse zamāne keke tinke jam.a kareñ phir na āshiyāne ke
- حق و ناحق جلانا ہو کسی کو تو جلا دیناکوئی روئے تمہارے سامنے تم مسکرا دیناhaq-o-nāhaq jalānā ho kisī ko to jalā denākoī roe tumhāre sāmne tum muskurā denā
- خزاں کا جو گلشن سے پڑ جائے پالاتو صحن چمن میں نہ گل ہو نہ لالہḳhizāñ kā jo gulshan se paṛ jā.e pālātū sehn-e-chaman meñ na gul ho na lāla
- زعم نہ کیجو شمع رو بزم کے سوز و ساز پررکھیو نظر بجائے ناز خاطر پیر ناز پرza.am na kījo sham.a ro bazm ke soz-o-sāz parrakhiyo nazar bajā.e nāz-e-ḳhātir-e-pīr-e-nāz par
- سنا بھی کبھی ماجرا درد و غم کا کسی دل جلے کی زبانی کہو تونکل آئیں آنسو کلیجہ پکڑ لو کروں عرض اپنی کہانی کہو توsunā bhī kabhī mājrā dard-o-ġham kā kisī dil jale kī zabānī kaho tonikal ā.eñ ānsū kaleja pakaṛ lo karūñ arz apnī kahānī kaho to
- کب تک رہے سینہ میں تمنائے مدینہکب تک دل بیتاب کہے ہائے مدینہkab tak rahe sīna meñ tamannā-e-madīnakab tak dil-e-betāb kahe hā.e madīna
- محبت میں جینا نئی بات ہےنہ مرنا بھی مر کر کرامات ہےmohabbat meñ jīnā na.ī bāt haina marnā bhī mar kar karāmāt hai
- ملے غیروں سے مجھ کو رنج و غم یوں بھی ہے اور یوں بھیوفا دشمن جفا جو کا ستم یوں بھی ہے اور یوں بھیmile ġhairoñ se mujh ko ranj-o-ġham yūñ bhī hai aur yūñ bhīvafā dushman jafā jo kā sitam yūñ bhī hai aur yūñ bhī
- وفا کا بندہ ہوں الفت کا پاسدار ہوں میںحریف قمری و پروانۂ ہزار ہوں میںvafā kā banda hūñ ulfat kā pāsdār hūñ maiñharīf-e-qamarī-o-parvāna-e-hazār hūñ maiñ
- ہمیں کہتی ہے دنیا زخم دل زخم جگر والےذرا تم بھی تو دیکھو ہم کو تم بھی ہو نظر والےhameñ kahtī hai duniyā zaḳhm-e-dil zaḳhm-e-jigar vālezarā tum bhī to dekho ham ko tum bhī ho nazar vāle
- ہوتے ہی جواں ہو گئے پابند حجاب اورگھونگھٹ کا اضافہ ہوا بالائے نقاب اورhote hī javāñ ho ga.e pāband-e-hijāb aurghūnghaṭ kā izāfa huā bālā-e-naqāb aur
- آہ کرتا ہوں تو آتے ہیں پسینے ان کونالہ کرتا ہوں تو راتوں کو وہ ڈر جاتے ہیںāh kartā hūñ to āte haiñ pasīne un konāla kartā hūñ to rātoñ ko vo ḍar jāte haiñ
- تم آؤ مرگ شادی ہے نہ آؤ مرگ ناکامینظر میں اب رہ ملک عدم یوں بھی ہے اور یوں بھیtum ā.o marg shādī hai na ā.o marg nākāmīnazar meñ ab rah-e-mulk-e-adam yūñ bhī hai aur yūñ bhī
- کھل گئی شمع تری ساری کرامات جمالدیکھ پروانے کدھر کھول کے پر جاتے ہیںkhul ga.ī sham.a tirī sārī karāmāt jamāldekh parvāne kidhar khol ke par jāte haiñ
- محتسب تسبیح کے دانوں پہ یہ گنتا رہاکن نے پی کن نے نہ پی کن کن کے آگے جام تھاmohtasib tasbīh ke dānoñ pe ye gintā rahākin ne pī kin ne na pī kin kin ke āge jām thā
- معلوم نہیں کس سے کہانی مری سن لیبھاتا ہی نہیں اب انہیں افسانہ کسی کاma.alūm nahīñ kis se kahānī mirī sun lībhātā hī nahīñ ab unheñ afsāna kisī kā
- ہمیشہ خون دل رویا ہوں میں لیکن سلیقے سےنہ قطرہ آستیں پر ہے نہ دھبا جیب و دامن پرhamesha ḳhūn-e-dil royā hūñ maiñ lekin salīqe sena qatra āstīñ par hai na dhabbā jeb-o-dāman par