ملے غیروں سے مجھ کو رنج و غم یوں بھی ہے اور یوں بھی
Saail Dehlvi (1867–1945)ملے غیروں سے مجھ کو رنج و غم یوں بھی ہے اور یوں بھی
وفا دشمن جفا جو کا ستم یوں بھی ہے اور یوں بھی
کہیں وامق کہیں مجنوں رقم یوں بھی ہے اور یوں بھی
ہمارے نام پر چلتا قلم یوں بھی ہے اور یوں بھی
شب وعدہ وہ آ جائیں نہ آئیں مجھ کو بلوا لیں
عنایت یوں بھی ہے اور یوں بھی کرم یوں بھی ہے اور یوں بھی
عدو لکھے مجھے نامہ تمہاری مہر اس کا خط
جفا یوں بھی ہے اور یوں بھی ستم یوں بھی ہے اور یوں بھی
نہ خود آئیں نہ بلوائیں شکایت کیوں نہ لکھ بھیجوں
عنایت کی نظر مجھ پر کرم یوں بھی ہے اور یوں بھی
یہ مسجد ہے یہ مے خانہ تعجب اس پر آتا ہے
جناب شیخ کا نقش قدم یوں بھی ہے اور یوں بھی
تجھے نواب بھی کہتے ہیں شاعر بھی سمجھتے ہیں
زمانے میں ترا سائلؔ بھرم یوں بھی ہے اور یوں بھی
mile ghairon se mujh ko ranj-o-gham yun bhi hai aur yun bhi
wafa dushman jafa jo ka sitam yun bhi hai aur yun bhi
kahin wamiq kahin majnun raqam yun bhi hai aur yun bhi
hamare nam par chalta qalam yun bhi hai aur yun bhi
shab-e-waada wo a jaen na aen mujh ko balwa len
inayat yun bhi hai aur yun bhi karam yun bhi hai aur yun bhi
adu likhe mujhe nama tumhari mehr us ka khat
jafa yun bhi hai aur yun bhi sitam yun bhi hai aur yun bhi
na khud aen na balwaen shikayat kyun na likh bhejun
inayat ki nazar mujh par karam yun bhi hai aur yun bhi
ye masjid hai ye mai khana taajjub us par ata hai
janab-e-shaikh ka naqsh-e-qadam yun bhi hai aur yun bhi
tujhe nawwab bhi kahte hain shayar bhi samajhte hain
zamane mein tira sail bharam yun bhi hai aur yun bhi