ہوتے ہی جواں ہو گئے پابند حجاب اور
Saail Dehlvi (1867–1945)ہوتے ہی جواں ہو گئے پابند حجاب اور
گھونگھٹ کا اضافہ ہوا بالائے نقاب اور
جب میں نے کہا کم کرو آئین حجاب اور
فرمایا بڑھا دوں گا ابھی ایک نقاب اور
پینے کی شراب اور جوانی کی شراب اور
ہشیار کے خواب اور ہیں مدہوش کے خواب اور
گردن بھی جھکی رہتی ہے کرتے بھی نہیں بات
دستور حجاب اور ہیں انداز حجاب اور
پانی میں شکر گھول کے پیتا تو ہے اے شیخ
خاطر سے ملا دے مری دو گھونٹ شراب اور
ساقی کے قدم لے کے کہے جاتا ہے یہ شیخ
تھوڑی سی شراب اور دے تھوڑی سی شراب اور
سائلؔ نے سوال اس سے کیا جب بھی یہ دیکھا
ملتا نہیں گالی کے سوا کوئی جواب اور
hote hi jawan ho gae paband-e-hijab aur
ghunghat ka izafa hua bala-e-naqab aur
jab main ne kaha kam karo ain-e-hijab aur
farmaya barha dunga abhi ek naqab aur
pine ki sharab aur jawani ki sharab aur
hushyar ke khwab aur hain madhosh ke khwab aur
gardan bhi jhuki rahti hai karte bhi nahin bat
dastur hijab aur hain andaz-e-hijab aur
pani mein shakar ghol ke pita to hai ai shaikh
khatir se mila de miri do ghunt sharab aur
saqi ke qadam le ke kahe jata hai ye shaikh
thori si sharab aur de thori si sharab aur
sail ne sawal us se kiya jab bhi ye dekha
milta nahin gali ke siwa koi jawab aur