Poet
Saail Dehlvi
سائل دہلوی1867–1945
Poems
- آہ کرتا ہوں تو آتے ہیں پسینے ان کونالہ کرتا ہوں تو راتوں کو وہ ڈر جاتے ہیںāh kartā hūñ to āte haiñ pasīne un konāla kartā hūñ to rātoñ ko vo ḍar jāte haiñ
- تم آؤ مرگ شادی ہے نہ آؤ مرگ ناکامینظر میں اب رہ ملک عدم یوں بھی ہے اور یوں بھیtum ā.o marg shādī hai na ā.o marg nākāmīnazar meñ ab rah-e-mulk-e-adam yūñ bhī hai aur yūñ bhī
- کھل گئی شمع تری ساری کرامات جمالدیکھ پروانے کدھر کھول کے پر جاتے ہیںkhul ga.ī sham.a tirī sārī karāmāt jamāldekh parvāne kidhar khol ke par jāte haiñ
- محتسب تسبیح کے دانوں پہ یہ گنتا رہاکن نے پی کن نے نہ پی کن کن کے آگے جام تھاmohtasib tasbīh ke dānoñ pe ye gintā rahākin ne pī kin ne na pī kin kin ke āge jām thā
- معلوم نہیں کس سے کہانی مری سن لیبھاتا ہی نہیں اب انہیں افسانہ کسی کاma.alūm nahīñ kis se kahānī mirī sun lībhātā hī nahīñ ab unheñ afsāna kisī kā
- ہمیشہ خون دل رویا ہوں میں لیکن سلیقے سےنہ قطرہ آستیں پر ہے نہ دھبا جیب و دامن پرhamesha ḳhūn-e-dil royā hūñ maiñ lekin salīqe sena qatra āstīñ par hai na dhabbā jeb-o-dāman par