Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Rabab Rashidi

Poems

Meter
  1. ātā nahīñ hai ab kisī dam sāz kā ḳhayāldil meñ basā gayā vo is andāz kā ḳhayāl
  2. apnī ḳhush zauqī pe ik ilzām ho kar rah ga.enām vāle the barā-e-nām ho kar rah ga.e
  3. tujh se jab tak is tarah apnī shanāsā.ī na thīapne ghar jaisī to sahrā meñ bhī tanhā.ī na thī
  4. tez havā.eñ haiñ ġham kīḳhair manā.o mausam kī
  5. jab bhī guzre hue lamhāt ko dohrāte haiñham ḳhud apne hī ḳhayāloñ meñ ulajh jāte haiñ
  6. jab kabhī qāfila-e-abr-e-ravāñ hotā haishāḳh-e-dar shāḳh ik ehsās-e-javāñ hotā hai
  7. dhūp ruḳhsat huī shām ā.ī sitārā chamkāgard jab baiṭh ga.ī nām tumhārā chamkā
  8. kabhī bahār bane aur sañvar ga.e ham logkabhī ġhubār kī sūrat bikhar ga.e ham log
  9. koī bhī uqda kushā-e-ḳhud āgahī na milāmaiñ apne āp se bhī āj tak kabhī na milā
  10. vo aur haiñ jinheñ ehsās-e-tīrgī hai bahutyahāñ to ṭūṭṭe lamhoñ kī raushnī hai bahut
  11. yād māzī ke mirī laġhzish-e-pā ho jaiseaur ye karb kā ehsās sazā ho jaise
  12. ye tajriba bhī hai ham ne faqat sunā hī nahīñgumān-e-shauq se baṛh kar yaqīñ huā hī nahīñ