Poet
Qabil Ajmeri
قابل اجمیری1931–1962
Poems
- اب یہ عالم ہے کہ غم کی بھی خبر ہوتی نہیںاشک بہہ جاتے ہیں لیکن آنکھ تر ہوتی نہیںab ye ālam hai ke ġham kī bhī ḳhabar hotī nahīñashk bah jāte haiñ lekin ānkh tar hotī nahīñ
- اشکوں میں حسن دوست دکھاتی ہے چاندنیشبنم کو چار چاند لگاتی ہے چاندنیashkoñ meñ husn-e-dost dikhātī hai chāndnīshabnam ko chār chānd lagātī hai chāndnī
- بقدر جوش جنوں تار تار بھی نہ کیاوہ پیرہن جسے نذر بہار بھی نہ کیاbaqadr-e-josh-e-junūñ tār tār bhī na kiyāvo pairahan jise nazr-e-bahār bhī na kiyā
- تضاد جذبات میں یہ نازک مقام آیا تو کیا کرو گےمیں رو رہا ہوں تم ہنس رہے ہو میں مسکرایا تو کیا کرو گےtazād-e-jazbāt meñ ye nāzuk maqām āyā to kyā karogemaiñ ro rahā hūñ tum hañs rahe ho maiñ muskurāyā to kyā karoge
- تم نہ مانو مگر حقیقت ہےعشق انسان کی ضرورت ہےtum na māno magar haqīqat haiishq insān kī zarūrat hai
- تمہیں جو میرے غم دل سے آگہی ہو جائےجگر میں پھول کھلیں آنکھ شبنمی ہو جائےtumheñ jo mere ġham-e-dil se āgahī ho jā.ejigar meñ phūl khuleñ ānkh shabnamī ho jā.e
- جہان آرزو آواز ہی آواز ہوتا ہےبڑی مشکل سے احساس شکست ساز ہوتا ہےjahān-e-ārzū āvāz hī āvāz hotā haibaṛī mushkil se ehsās-e-shikast-e-sāz hotā hai
- حادثے زیست کی توقیر بڑھا دیتے ہیںاے غم یار تجھے ہم تو دعا دیتے ہیںhādse zīst kī tauqīr baṛhā dete haiñai ġham-e-yār tujhe ham to duā dete haiñ
- حوادث ہم سفر اپنے تلاطم ہم عناں اپنازمانہ لوٹ سکتا ہے تو لوٹے کارواں اپناhavādis ham safar apne talātum ham ināñ apnāzamāna lauṭ saktā hai to lauṭe kārvāñ apnā
- حیرتوں کے سلسلے سوز نہاں تک آ گئےہم نظر تک چاہتے تھے تم تو جاں تک آ گئےhairatoñ ke silsile soz-e-nihāñ tak ā ga.eham nazar tak chāhte the tum to jāñ tak ā ga.e
- دل دیوانہ عرض حال پر مائل تو کیا ہوگامگر وہ پوچھ بیٹھے خود ہی حال دل تو کیا ہوگاdil-e-dīvāna arz-e-hāl par mā.il to kyā hogāmagar vo pūchh baiṭhe ḳhud hī hāl-e-dil to kyā hogā
- دن چھپا اور غم کے سائے ڈھلےآرزو کے نئے چراغ جلےdin chhupā aur ġham ke sā.e ḍhaleārzū ke na.e charāġh jale
- صراحی کا بھرم کھلتا نہ میری تشنگی ہوتیذرا تم نے نگاہ ناز کو تکلیف دی ہوتیsurāhī kā bharam khultā na merī tishnagī hotīzarā tum ne nigāh-e-nāz ko taklīf dī hotī
- طلب کی آگ کسی شعلہ رو سے روشن ہےخیال ہو کہ نظر آرزو سے روشن ہےtalab kī āg kisī shola ro se raushan haiḳhayāl ho ke nazar ārzū se raushan hai
- عالم سوز تمنا بے کراں کرتے چلوذرے ذرے کو شریک کارواں کرتے چلوālam-e-soz-e-tamannā be karāñ karte chalozarre zarre ko sharīk-e-kārvāñ karte chalo
- غم چھیڑتا ہے ساز رگ جاں کبھی کبھیہوتی ہے کائنات غزل خواں کبھی کبھیġham chheṛtā hai sāz-e-rag-e-jāñ kabhī kabhīhotī hai kā.ināt ġhazal ḳhvāñ kabhī kabhī
- مدتوں ہم نے غم سنبھالے ہیںاب تری یاد کے حوالے ہیںmuddatoñ ham ne ġham sambhāle haiñab tirī yād ke havāle haiñ
- وہ کب آئیں خدا جانے ستارو تم تو سو جاؤہوئے ہیں ہم تو دیوانے ستارو تم تو سو جاؤvo kab ā.eñ ḳhudā jāne sitāro tum to so jā.ohue haiñ ham to dīvāne sitāro tum to so jā.o
- وہ ہر مقام سے پہلے وہ ہر مقام کے بعدسحر تھی شام سے پہلے سحر ہے شام کے بعدvo har maqām se pahle vo har maqām ke ba.adsahar thī shām se pahle sahar hai shām ke ba.ad
- ہستی کو اپنی شعلہ بداماں کریں گے ہمزنداں میں بھی گئے تو چراغاں کریں گے ہمhastī ko apnī shola badāmāñ kareñge hamzindāñ meñ bhī ga.e to charāġhāñ kareñge ham
- ہونٹوں پہ ہنسی آنکھ میں تاروں کی لڑی ہےوحشت بڑے دلچسپ دوراہے پہ کھڑی ہےhonṭoñ pe hañsī ānkh meñ tāroñ kī laṛī haivahshat baṛe dilchasp dorāhe pe khaṛī hai