اب یہ عالم ہے کہ غم کی بھی خبر ہوتی نہیں
Qabil Ajmeri (1931–1962)اب یہ عالم ہے کہ غم کی بھی خبر ہوتی نہیں
اشک بہہ جاتے ہیں لیکن آنکھ تر ہوتی نہیں
پھر کوئی کم بخت کشتی نذر طوفاں ہو گئی
ورنہ ساحل پر اداسی اس قدر ہوتی نہیں
تیرا انداز تغافل ہے جنوں میں آج کل
چاک کر لیتا ہوں دامن اور خبر ہوتی نہیں
ہائے کس عالم میں چھوڑا ہے تمہارے غم نے ساتھ
جب قضا بھی زندگی کی چارہ گر ہوتی نہیں
رنگ محفل چاہتا ہے اک مکمل انقلاب
چند شمعوں کے بھڑکنے سے سحر ہوتی نہیں
اضطراب دل سے قابلؔ وہ نگاہ بے نیاز
بے خبر معلوم ہوتی ہے مگر ہوتی نہیں
ab ye alam hai ke gham ki bhi khabar hoti nahin
ashk bah jate hain lekin ankh tar hoti nahin
phir koi kam bakht kashti nazr-e-tufan ho gai
warna sahil par udasi is qadar hoti nahin
tera andaz-e-taghaful hai junun mein aj kal
chak kar leta hun daman aur khabar hoti nahin
hae kis alam mein chhora hai tumhare gham ne sath
jab qaza bhi zindagi ki chara gar hoti nahin
rang-e-mahfil chahta hai ik mukammal inqilab
chand shamon ke bharakne se sahar hoti nahin
iztirab-e-dil se qabil wo nigah-e-be niyaz
be khabar maalum hoti hai magar hoti nahin