Poet
میر کلو عرش
Poems
- آنسو تھمے جو رخ پہ وہ گیسو بکھر گیاملتے ہی دونوں وقت کے دریا ٹھہر گیاānsū thame jo ruḳh pe vo gesū bikhar gayāmilte hī donoñ vaqt ke dariyā ṭhahar gayā
- اپنی پرسش جو ہو ارباب وفا سے پہلےمانگیے دولت دیدار خدا سے پہلےapnī pursish jo ho arbāb-e-vafā se pahlemāñgiye daulat-e-dīdār-e-ḳhudā se pahle
- بے قراروں کو کب قرار آیاموت بھی آئی پر نہ یار آیاbe qarāroñ ko kab qarār āyāmaut bhī ā.ī par na yār āyā
- تن سے جاں کا قدم نکلتا ہےاب کوئی دم میں دم نکلتا ہےtan se jāñ kā qadam nikaltā haiab koī dam meñ dam nikaltā hai
- تھا نجم بخت تیرہ مقابل تمام راتآنکھوں تلے پھرا مرے قاتل تمام راتthā najm-e-baḳht-e-tīra muqābil tamām rātānkhoñ tale phirā mire qātil tamām rāt
- خوں بہانے کا بہانہ ہے بھلا میرے بعدتین دن پان بھی کھانا نہ ذرا میرے بعدḳhūñ bahāne kā bahāna hai bhalā mere ba.adtīn din pān bhī khānā na zarā mere ba.ad
- درویش قید غم میں دل زار ہو گیاآزاد ہو گیا جو گرفتار ہو گیاdarvesh qaid-e-ġham meñ dil-e-zār ho gayāāzād ho gayā jo giraftār ho gayā
- دل آئنہ ہے جوہر عکس رو ہےیوں ہی تجھ سے میں ہوں یوں ہی مجھ میں تو ہےdil ā.īna hai jauhar aks ro haiyūñ hī tujh se maiñ hūñ yūñ hī mujh meñ to hai
- رخ سے برقع جو الٹ دے وہ تو آفت ہو جائےقد کشی ہو تو نمودار قیامت ہو جائےruḳh se burqa.a jo ulaṭ de vo to āfat ho jā.eqad kashī ho to numūdār qayāmat ho jā.e
- سن کے فرقت چپ ہوا ایسا کہ مردا ہو گیاپوچھتا ہے یار رو رو کر تجھے کیا ہو گیاsun ke furqat chup huā aisā ke mardā ho gayāpūchhtā hai yār ro ro kar tujhe kyā ho gayā
- شب ہجراں میں دم نکلتا ہےکب پیام وصال ٹلتا ہےshab-e-hijrāñ meñ dam nikaltā haikab payām-e-visāl ṭaltā hai
- شہرت ہے میری سخن وری کیہندی میں ہے طرز فارسی کیshohrat hai merī suḳhan varī kīhindī meñ hai tarz fārsī kī
- غم میں عہد شباب جاتا ہےآسماں خاک میں ملاتا ہےġham meñ ahd-e-shabāb jātā haiāsmāñ ḳhāk meñ milātā hai
- کون آئے گا جو تو بے سر و ساماں ہوگاورنہ ہوگا تو نہ اندیشۂ درباں ہوگاkaun ā.egā jo tū be sar-o-sāmāñ hogāvarna hogā to na andesha-e-darbāñ hogā
- کھلے گا ناخن شمشیر سے عقدہ مرے دل کاکسی قاتل سے ہے آسان ہونا میری مشکل کاkhulegā nāḳhun-e-shamshīr se uqda mire dil kākisī qātil se hai āsān honā merī mushkil kā
- گر ہو نہ خفا تو کہہ دوں جی کیاس دم تمہیں یاد ہے کسی کیgar ho na ḳhafā to kah dūñ jī kīis dam tumheñ yād hai kisī kī
- مجھ کو مسند پہ قلمداں بخشاشیر قالیں کو نیستاں بخشاmujh ko masnad pe qalamdāñ baḳhshāsher qālīñ ko nayastāñ baḳhshā
- موت اپنی جان اے دل گردش افلاک کوڈوبنے کا خوف ہے گرداب میں تیراک کوmaut apnī jān ai dil gardish-e-aflāk koḍūbne kā ḳhauf hai girdāb meñ tairāk ko
- موسم گل میں نہیں عزت و شان واعظکون اس فصل میں سنتا ہے بیان واعظmausam-e-gul meñ nahīñ izzat-o-shān-e-vā.izkaun is fasl meñ suntā hai bayān-e-vā.iz
- نظر کسی کو وہ موئے کمر نہیں آتابرنگ تار نظر ہے نظر نہیں آتاnazar kisī ko vo mū-e-kamar nahīñ ātābarang-e-tār-e-nazar hai nazar nahīñ ātā
- نہ جنوں جائے گا کبھی میرایار ہے غیرت پری میراna junūñ jā.egā kabhī merāyār hai ġhairat-e-parī merā
- نہ گل نہ سرو میان بہار ہوتا ہےہماری خاک سے پیدا چنار ہوتا ہےna gul na sarv-e-miyān-e-bahār hotā haihamārī ḳhāk se paidā chanār hotā hai
- وفور ضعف سے دل یار پر نہیں آتاغم فراق میں جینا نظر نہیں آتاvafūr-e-zof se dil yār par nahīñ ātāġham-e-firāq meñ jīnā nazar nahīñ ātā
- ہر غم میں کریم ہے ہمارااللہ رحیم ہے ہماراhar ġham meñ karīm hai hamārāallāh rahīm hai hamārā
- ہم سے کرتا ہے عبث گفتار کجراست بازوں سے نہ ہو اے یار کجham se kartā hai abas guftār kajrāst bāzoñ se na ho ai yār kaj
- ہے مرا تار نفس تار قفسرشتہ برپا ہوں گرفتار قفسhai mirā tār-e-nafas tār-e-qafasrishta barpā hūñ giraftār-e-qafas
- اثر ایسا ہے تپ غم میں دوا کا الٹانبض دیکھے تو ہو بیمار مسیحا الٹاasar aisā hai tap-e-ġham meñ davā kā ulṭānabz dekhe to ho bīmār masīhā ulṭā
- میں دریائے قناعت آشنا ہوںمیں موج نشان بوریا ہوںmaiñ dariyā-e-qanā.at āshnā hūñmaiñ mauj nishān-e-boriyā hūñ
- نہ کچھ تکرار تم کو ہے نہ کچھ شکوہ ہمارا ہےیہ دل کیا چیز ہے اب جان تک دینا گوارا ہےna kuchh takrār tum ko hai na kuchh shikva hamārā haiye dil kyā chīz hai ab jān tak denā gavārā hai