Poet
Lutf-ur-rahman
b. 1941
Poems
- آج تک بہکا نہیں باہر سے دیوانہ تراحوصلے میری نگاہوں کے ہیں پیمانہ تراāj tak bahkā nahīñ bāhar se dīvāna tirāhausle merī nigāhoñ ke haiñ paimāna tirā
- اتنا چپ چاپ تعلق پہ زوال آیا تھادل ہی رویا تھا نہ چہرے پہ ملال آیا تھاitnā chup chāp ta.alluq pe zavāl āyā thādil hī royā thā na chehre pe malāl āyā thā
- بہت مزا تھا اڑان میں بھییقیں تھا روشن گمان میں بھیbahut mazā thā uṛān meñ bhīyaqīñ thā raushan gumān meñ bhī
- تو ہی اس شہر میں ہے ایک شناسا میریاب کہیں لے کے مجھے چل شب تنہا میریtū hī is shahr meñ hai ek shanāsā merīab kahīñ le ke mujhe chal shab-e-tanhā merī
- جب دل میں تیری یاد نہ آنکھوں میں نیند تھیایسی بھی ایک رات مجھے کاٹنی پڑیjab dil meñ terī yād na ānkhoñ meñ nīnd thīaisī bhī ek rāt mujhe kāṭnī paṛī
- سڑک کی بھیڑ میں جو کھو گیا ہےوہ تنہا شخص اب تنہا ہوا ہےsaṛak kī bhīṛ meñ jo kho gayā haivo tanhā shaḳhs ab tanhā huā hai
- سنگ طفلاں کا ہدف جسم ہمارا نکلاہم تو جس شہر گئے شہر تمہارا نکلاsang tiflāñ kā hadaf jism hamārā niklāham to jis shahr ga.e shahr tumhārā niklā
- عبارت سے ورق عاری رہے گامگر لکھنا مرا جاری رہے گاibārat se varaq ārī rahegāmagar likhnā mirā jārī rahegā
- مجھ میں بہتی ہے پاگل ہوا کون سیکون سی ہے یہ باد صبا کون سیmujh meñ bahtī hai pāgal huā kaun sīkaun sī hai ye bād-e-sabā kaun sī
- میں اپنے آپ کو آواز دے رہا ہوں ابھیاک ایک حرف مری تشنگی کا ضامن ہےmaiñ apne āp ko āvāz de rahā hūñ abhīik ek harf mirī tishnagī kā zāmin hai
- میں ٹوٹتا رہوں ایسی تری رضا تو نہیںہوائے تند میں شامل تری ادا تو نہیںmaiñ ṭūṭṭā rahūñ aisī tirī razā to nahīñhavā-e-tund meñ shāmil tirī adā to nahīñ
- میں دور ہو کے بھی اس سے کبھی جدا نہ ہواکہ اس کے بعد کسی کا بھی آشنا نہ ہواmaiñ dūr ho ke bhī us se kabhī judā na huāke is ke ba.ad kisī kā bhī āshnā na huā
- نہیں یہ ضد کہ ہر اک درد تو مرا لے جاجو ہو سکے تو یہ برسوں کا رت جگا لے جاnahīñ ye zid ke har ik dard to mirā le jājo ho sake to ye barsoñ kā rut jagā le jā
- ہم کو کچھ یاد نہیں تیرے سوا بھول گئےاپنی صورت ہی نہیں اپنی صدا بھول گئےham ko kuchh yād nahīñ tere sivā bhūl ga.eapnī sūrat hī nahīñ apnī sadā bhūl ga.e
- یوں نکلتی ہے مری بات دہن سے اس کےجیسے برسوں کا تعارف ہو بدن سے اس کےyūñ nikaltī hai mirī bāt dahan se us kejaise barsoñ kā ta.āruf ho badan se us ke