بہت مزا تھا اڑان میں بھی
Lutf-ur-rahman (b. 1941)بہت مزا تھا اڑان میں بھی
یقیں تھا روشن گمان میں بھی
حسین شب پر ہے چاند میرا
دیا جلا آسمان میں بھی
وہی اکیلا ہے انجمن میں
وہی ہے تنہا مکان میں بھی
چٹان میں بھی رواں ہے دریا
چھپا ہے دریا چٹان میں بھی
ہوئے تھے بازو بھی شل ہمارے
ہوا نہ تھی بادبان میں بھی
وہی تھا آغاز و انتہا بھی
وہی رہا درمیان میں بھی
چڑھا نہ تھا تیر بھی نظر کا
لچک نہ تھی کچھ کمان میں بھی
bahut maza tha uran mein bhi
yaqin tha raushan guman mein bhi
hasin shab par hai chand mera
diya jala asman mein bhi
wahi akela hai anjuman mein
wahi hai tanha makan mein bhi
chatan mein bhi rawan hai dariya
chhupa hai dariya chatan mein bhi
hue the bazu bhi shil hamare
hawa na thi badban mein bhi
wahi tha aghaz-o-intiha bhi
wahi raha darmiyan mein bhi
charha na tha tir bhi nazar ka
lachak na thi kuchh kaman mein bhi