Poet
خواجہ محمد وزیر
Poems
- اس قدر ہم ناتوان و زار ہیںبازو اپنے مچھلیوں کے خار ہیںis qadar ham nātavān-o-zār haiñbāzū apne machhliyoñ ke ḳhār haiñ
- ایک عالم نے جبہ سائی کیاے بتو تم نے بھی خدائی کیek ālam ne jubba sā.ī kīai buto tum ne bhī ḳhudā.ī kī
- پیش عاشق چشم گریان و لب خنداں ہے ایکجل گیا جو نخل اس کو برق اور باراں ہے ایکpesh-e-āshiq chashm-e-girīin-o-lab-e-ḳhandāñ hai ekjal gayā jo naḳhl us ko barq aur bārāñ hai ek
- تری طرف سے دل اے جان جاں اٹھا نہ سکےبہت ضعیف تھے بار گراں اٹھا نہ سکےtirī taraf se dil ai jān-e-jāñ uṭhā na sakebahut za.īf the bār-e-girāñ uṭhā na sake
- ترے رخ کا کسے سودا نہیں ہےگل لالہ تلک صحرا نشیں ہےtire ruḳh kā kise saudā nahīñ haigul-e-lāla talak sahrā nashīñ hai
- تنگیٔ دہن سے ہے اڑی باتچھوٹا سا ہے منہ ترا بڑی باتtangī-e-dahan se hai uṛī bātchhoṭā sā hai muñh tirā baṛī bāt
- تیغ عریاں پہ تمہاری جو پڑی میری آنکھچشم جوہر سے اجی خوب لڑی میری آنکھteġh uryāñ pe tumhārī jo paṛī merī ānkhchashm-e-jauhar se ajī ḳhūb laṛī merī ānkh
- جو خاص بندے ہیں وہ بندۂ عوام نہیںہزار بار جو یوسف بکے غلام نہیںjo ḳhās bande haiñ vo banda-e-avām nahīñhazār bār jo yūsuf bike ġhulām nahīñ
- جیتے جی بس وہ بت رہا ہم راہاب تو بندے کے ہے خدا ہم راہjīte jī bas vo but rahā ham rāhab to bande ke hai ḳhudā ham rāh
- چلا ہے او دل راحت طلب کیا شادماں ہو کرزمین کوئے جاناں رنج دے گی آسماں ہو کرchalā hai o dil-e-rāhat talab kyā shādmāñ ho karzamīn-e-kū-e-jānāñ ranj degī āsmāñ ho kar
- چلے بت خانے کو خدا حافظتم بھی زاہد کہو خدا حافظchale but ḳhāne ko ḳhudā hāfiztum bhī zāhid kaho ḳhudā hāfiz
- چھانتا ہے خاک کیا تو گھر بنانے کے لیےفکر رہنے کی نہ کر آیا ہے جانے کے لیےchhāntā hai ḳhāk kyā to ghar banāne ke liyefikr rahne kī na kar āyā hai jāne ke liye
- خدا نما ہے بت سنگ آستانۂ عشقچلوں گا پائے نگہ بن کے سوئے خانۂ عشقḳhudā numā hai but sang-e-āstāna-e-ishqchalūñgā pā.e nigah ban ke sū-e-ḳhāna-e-ishq
- دم بھر جو نہ دیکھے تجھے اے رشک پری آنکھمژگاں کی زبانوں سے کرے نوحہ گری آنکھdam bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-parī ānkhmizhgāñ kī zabānoñ se kare nauha girī ānkh
- دیکھ بے بادہ کیا ہے اپنا رنگرحم اے آسمان مینا رنگdekh be bāda kyā hai apnā rangrahm ai āsmān-e-mīnā rang
- سر مرا کاٹ کے پچھتائیے گاکس کی پھر جھوٹی قسم کھائیے گاsar mirā kāṭ ke pachhtā.iyegākis kī phir jhūṭī qasam khā.iyegā
- عاشق زلف و رخ دلدار آنکھیں ہو گئیںمبتلائے کافر و دیندار آنکھیں ہو گئیںāshiq-e-zulf-o-ruḳh-e-dildār ānkheñ ho ga.īñmubtalā-e-kāfir-o-dīndār ānkheñ ho ga.īñ
- عذار یار پہ زلف سیاہ فام نہیںمگر یہ حشر کا دن ہے کہ جس کی شام نہیںizār-e-yār pe zulf-e-siyāh fām nahīñmagar ye hashr kā din hai ke jis kī shām nahīñ
- گوہر اشک سے لبریز ہے سارا دامنآج کل دامن دولت ہے ہمارا دامنgauhar-e-ashk se labrez hai sārā dāmanāj kal dāman-e-daulat hai hamārā dāman
- میرے نالوں سے تہہ و بالا ہوئی اکثر زمیںزیر پا آیا فلک اور بارہا سر پر زمیںmere nāloñ se tah-o-bālā huī aksar zamīñzer-e-pā āyā falak aur bārhā sar par zamīñ
- میں سراپا مظہر اسم خدا واللہ ہوںہم صفیرو اس چمن میں مرغ بسم اللہ ہوںmaiñ sarāpā maz.har-e-ism-e-ḳhudā vallāh hūñham safīro is chaman meñ murġh-e-bism-e-allāh hūñ
- نہیں کٹتا ہے یہ میدان بلاوادیٔ خضر بیابان بلاnahīñ kaṭṭā hai ye maidān-e-balāvādī-e-ḳhizr-e-bayābān-e-balā
- ہر عضو مسافر ہے نہیں کچھ سفری آنکھہے آخر شب عمر چراغ سحری آنکھhar uzv musāfir hai nahīñ kuchh safarī ānkhhai āḳhir shab umr charāġh-e-saharī ānkh
- ہماری اس وفا پر بھی دغا کیقسم کھائی تھی او کافر خدا کیhamārī is vafā par bhī daġhā kīqasam khā.ī thī o kāfir ḳhudā kī
- ہمیشہ دل میں جو اپنے خیال زلف و کاکل ہےتو سینے میں نفس ہر ایک موج بوئے سنبل ہےhamesha dil meñ jo apne ḳhayāl-e-zulf-o-kākul haitū sīne meñ nafas har ek mauj-e-bū-e-sumbul hai
- ہوا ہے عشق تازہ ابتدائی آہ ہوتی ہےمبارک طفل دل کی آج بسم اللہ ہوتی ہےhuā hai ishq tāza ibtidā.ī āh hotī haimubārak tifl-e-dil kī āj bism-e-allāh hotī hai
- ہے غلط گر ترے دانتوں کو کہوں تارے ہیںکہ دہن مصحف ناطق ہے یہ سیپارے ہیںhai ġhalat gar tire dāntoñ ko kahūñ tāre haiñke dahan mushaf-e-nātiq hai ye sīpāre haiñ
- ابر کیا گھر گھر کے آیا کھل گیابس ثبات بحر دنیا کھل گیاabr kyā ghar ghar ke āyā khul gayābas sabāt-e-bahr duniyā khul gayā
- بات کا اپنی نہ جب پایا جوابہم یہ سمجھے وہ دہن ہے لا جوابbāt kā apnī na jab pāyā javābham ye samjhe vo dahan hai lā javāb
- وصل میں رفتار معشوقانہ دکھلاتی ہے نیندآج کن اٹکھیلیوں سے آنکھوں میں آتی ہے نیندvasl meñ raftār ma.ashūqāna dikhlātī hai nīndāj kin aṭkheliyoñ se ānkhoñ meñ ātī hai nīnd
- ہے نقش درم جو نقش پا ہےآپ آتے تو گھر درم سرا ہےhai naqsh-e-diram jo naqsh-e-pā haiāp āte to ghar diram sarā hai