Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

خواجہ محمد وزیر

Poems

Meter
  1. is qadar ham nātavān-o-zār haiñbāzū apne machhliyoñ ke ḳhār haiñ
  2. ek ālam ne jubba sā.ī kīai buto tum ne bhī ḳhudā.ī kī
  3. pesh-e-āshiq chashm-e-girīin-o-lab-e-ḳhandāñ hai ekjal gayā jo naḳhl us ko barq aur bārāñ hai ek
  4. tirī taraf se dil ai jān-e-jāñ uṭhā na sakebahut za.īf the bār-e-girāñ uṭhā na sake
  5. tire ruḳh kā kise saudā nahīñ haigul-e-lāla talak sahrā nashīñ hai
  6. tangī-e-dahan se hai uṛī bātchhoṭā sā hai muñh tirā baṛī bāt
  7. teġh uryāñ pe tumhārī jo paṛī merī ānkhchashm-e-jauhar se ajī ḳhūb laṛī merī ānkh
  8. jo ḳhās bande haiñ vo banda-e-avām nahīñhazār bār jo yūsuf bike ġhulām nahīñ
  9. jīte jī bas vo but rahā ham rāhab to bande ke hai ḳhudā ham rāh
  10. chalā hai o dil-e-rāhat talab kyā shādmāñ ho karzamīn-e-kū-e-jānāñ ranj degī āsmāñ ho kar
  11. chale but ḳhāne ko ḳhudā hāfiztum bhī zāhid kaho ḳhudā hāfiz
  12. chhāntā hai ḳhāk kyā to ghar banāne ke liyefikr rahne kī na kar āyā hai jāne ke liye
  13. ḳhudā numā hai but sang-e-āstāna-e-ishqchalūñgā pā.e nigah ban ke sū-e-ḳhāna-e-ishq
  14. dam bhar jo na dekhe tujhe ai rashk-e-parī ānkhmizhgāñ kī zabānoñ se kare nauha girī ānkh
  15. dekh be bāda kyā hai apnā rangrahm ai āsmān-e-mīnā rang
  16. sar mirā kāṭ ke pachhtā.iyegākis kī phir jhūṭī qasam khā.iyegā
  17. āshiq-e-zulf-o-ruḳh-e-dildār ānkheñ ho ga.īñmubtalā-e-kāfir-o-dīndār ānkheñ ho ga.īñ
  18. izār-e-yār pe zulf-e-siyāh fām nahīñmagar ye hashr kā din hai ke jis kī shām nahīñ
  19. gauhar-e-ashk se labrez hai sārā dāmanāj kal dāman-e-daulat hai hamārā dāman
  20. mere nāloñ se tah-o-bālā huī aksar zamīñzer-e-pā āyā falak aur bārhā sar par zamīñ
  21. maiñ sarāpā maz.har-e-ism-e-ḳhudā vallāh hūñham safīro is chaman meñ murġh-e-bism-e-allāh hūñ
  22. nahīñ kaṭṭā hai ye maidān-e-balāvādī-e-ḳhizr-e-bayābān-e-balā
  23. har uzv musāfir hai nahīñ kuchh safarī ānkhhai āḳhir shab umr charāġh-e-saharī ānkh
  24. hamārī is vafā par bhī daġhā kīqasam khā.ī thī o kāfir ḳhudā kī
  25. hamesha dil meñ jo apne ḳhayāl-e-zulf-o-kākul haitū sīne meñ nafas har ek mauj-e-bū-e-sumbul hai
  26. huā hai ishq tāza ibtidā.ī āh hotī haimubārak tifl-e-dil kī āj bism-e-allāh hotī hai
  27. hai ġhalat gar tire dāntoñ ko kahūñ tāre haiñke dahan mushaf-e-nātiq hai ye sīpāre haiñ