Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jagan Nath Azad

جگن ناتھ آزاد

1918–2004

Poems

  1. ab maiñ hūñ āp ek tamāshā banā huāguzrā ye kaun merī taraf dekhtā huā
  2. itnā bhī shor to na ġham-e-sīna chāk karishq ik latīf shola hai us ko na ḳhāk kar
  3. ik nazar hī dekhā thā shauq ne shabāb un kādin ko yād hai un kī rāt ko hai ḳhvāb un kā
  4. auj-e-kamāl-e-sher hai hamd-o-sanā girīmujh ko sikhā ga.ī hai yahī kuchh suḳhanvarī
  5. ai dil-e-nādāñ matā-e-kam nigāhī par na jāaur bhī kuchh dekh jismoñ kī adā hī par na jā
  6. phir lauṭ kar ga.e na kabhī dasht-o-dar se hamnikle bas ek bār kuchh is tarah ghar se ham
  7. tamām umr mire dil ko ye ġhurūr rahāke ek lamhe ko ye bhī tire huzūr rahā
  8. terā ḳhayāl hai dil-e-hairāñ liye hueyā zarra āftāb kā sāmāñ liye hue
  9. jab apne naġhme na apnī zabāñ tak ā.etire huzūr ham ā kar bahut hī pachhtā.e
  10. jalva tirā is tarah se nākām na hotāham tūr pe hote to ye anjām na hotā
  11. ḳhayāl-e-yār jab ātā hai bītābānh ātā haike jaise sham.a kī jānib koī parvāna ātā hai
  12. dil kā jahān terā chahak kar sañvar gayājalva tirā nazar se jo dil tak utar gayā
  13. kab is meñ shak mujhe hai jo lazzat hai qāl meñlekin vo bāt is meñ kahāñ hai jo hāl meñ
  14. koī iz.hār-e-ġham-e-dil kā bahāna bhī nahīñho bahāna bhī jo koī to zamāna bhī nahīñ
  15. mirī chashm-e-tamāshā ab jahāñ haitajallī kārvāñ dar kārvāñ hai
  16. mirī umr-e-ravāñ hai aur maiñ hūñye jins-e-rā.īgāñ hai aur maiñ hūñ
  17. mumkin nahīñ ke bazm-e-tarab phir sajā sakūñab ye bhī hai bahut ke tumheñ yād ā sakūñ
  18. maiñ dil meñ un kī yād ke tūfāñ ko pāl karlāyā hūñ ek mauj taġhazzul nikāl kar
  19. nashe meñ hūñ magar ālūda-e-sharāb nahīñḳharāb hūñ magar itnā bhī maiñ ḳharāb nahīñ
  20. yūñ ik sabaq-e-mehr-o-vafā chhoṛ ga.e hamhar rāh meñ naqsh-e-kaf pā chhoṛ ga.e ham
  21. āzād! zarā dekh to ye ālam arzhangmausam ke ye andāz bahāroñ ke ye nairang
  22. is daur meñ to kyūñ hai pareshān-o-hirāsāñkyā bāt hai kyūñ hai mutazalzal terā īmāñ
  23. is tarah āj phir ābād hai vīrāna-e-dilke hai labrez mai-e-shauq se paimāna-e-dil
  24. alssalām ai azmat hindostāñ kī yādgārai shahanshāh dayār-e-dil faqīr-e-be dayār
  25. bād-o-bārāñ se ulajhtā ḳhanda zan girdāb parik jazīra tairtā jātā hai sat.h-e-āb par
  26. jo bhī mushkil rāh meñ ā.ī pal meñ thī āsānapnī himmat se insāñ ne mārā vo maidān
  27. ḳhvāb kī tarah se hai yād ke tum ā.e thejis tarah dāman-e-mashriq meñ sahar hotī hai
  28. dāman lāla zār meñālam pur bahār dekh
  29. rāt phir tere ḳhayāloñ ne jagāyā mujh koṭimṭimātī huī yādoñ kā zarā sā shola
  30. sun lo ek kahānī bachcho sun lo ek kahānītīn baras kī ik bachī hai nām hai jis kā pūnam
  31. fāsle kī to ḳhair bāt hai aurhaidarābād dil se dūr nahīñ
  32. kitnī raushan kyūñ na ho āzād āḳhir ek dinsham-e-hastī maut ke jhonkoñ se gul ho jā.egī
  33. maiñ is ḳhayāl meñ thā bujh chukī hai ātish-e-dardbhaṛak rahī thī mire dil meñ jo zamāne se
  34. vo ḳhāk boe the hālāt ne sharar jis meñab is meñ phūl tamannā ke khulne vāle haiñ
  35. zarre zarre pe bijlī sī barsā ga.īñchalte chalte jo pankhā zarā ruk gayā
  36. ā.o bachcho do paise meñ duniyā bhar kī sair karonazāre dikhlāne vālā
  37. ibtidā ye thī ke maiñ thā aur da.avā ilm kāintihā ye hai ke is da.ave pe sharmāyā bahut
  38. asl meñ ham the tumhāre sāth mahv-e-guftugūjab ḳhud apne āp se ham guftugū karte rahe
  39. ik bār agar qafas kī havā rās ā ga.īai ḳhud fareb phir havas-e-bāl-o-par kahāñ
  40. bahār āte hī ṭakrāne lage kyūñ sāġhar-o-mīnābatā ai pīr-e-mai ḳhāna ye mai ḳhānoñ pe kyā guzrī
  41. bahār ā.ī hai aur merī nigāheñ kāñp uṭheñ haiñyahī tevar the mausam ke jab ujṛā thā chaman apnā
  42. tirī dūrī kā mujh ko ġham nahīñ haike furqat meñ bhī lazzat kam nahīñ hai
  43. tumheñ kuchh us kī ḳhabar bhī hai ai chaman vālosahar ke ba.ad nasīm-e-sahar pe kyā guzrī
  44. chalte rahe ham tund havā.oñ ke muqābilāzād charāġh-e-tah dāmāñ na rahe ham
  45. ḍhūñḍhne par bhī na miltā thā mujhe apnā vajūdmaiñ talāsh-e-dost meñ yūñ be nishāñ thā dosto
  46. sukūn-e-dil jahān besh-o-kam meñ ḍhūñḍne vāleyahāñ har chīz miltī hai sukūn-e-dil nahīñ miltā
  47. kināre hī se tūfāñ kā tamāshā dekhne vālekināre se kabhī andāza-e-tūfāñ nahīñ hotā
  48. maiñ kyā karūñ ke zabt tamannā ke bāvajūdbe iḳhtiyār lab pe tirā nām ā gayā
  49. nīnd kyā hai zarā sī der kī mautmaut kyā kyā hai tamām umr kī nīnd
  50. ham ne burā bhalā hī sahī kām to kiyātum ko to etirāz hī karne kā shauq thā