مری عمر رواں ہے اور میں ہوں
Jagan Nath Azad (1918–2004)مری عمر رواں ہے اور میں ہوں
یہ جنس رائیگاں ہے اور میں ہوں
غم گم گشتگاں ہے اور میں ہوں
یہ درد جاوداں ہے اور میں ہوں
کہاں ہو کارواں والو کہاں ہو
تلاش کارواں ہے اور میں ہوں
تصور میں بہاریں ہیں گل افشاں
نگاہوں میں خزاں ہے اور میں ہوں
ذرا آواز دے اے دور ماضی
ترا درد نہاں ہے اور میں ہوں
فقط میری خموشی ہے غزل خواں
سکوت بے کراں ہے اور میں ہوں
چمن والو خبر بھی ہے تمہیں کچھ
کہ یاد آشیاں ہے اور میں ہوں
مری تقدیر کانٹے چن رہی ہے
بہار بوستاں ہے اور میں ہوں
مرے نغمات پر خوش ہونے والے
مرا سوز نہاں ہے اور میں ہوں
ترستی ہیں خریداروں کو نظریں
لب گوہر فشاں ہے اور میں ہوں
میں اپنے آپ کو گم کر چکا ہوں
یہ احساس زیاں ہے اور میں ہوں
قریب گلستاں پھرتا ہوں لیکن
تلاش گلستاں ہے اور میں ہوں
مرے اشعار کی روداد آزادؔ
مرا خون رواں ہے اور میں ہوں
miri umr-e-rawan hai aur main hun
ye jins-e-raigan hai aur main hun
gham gum gashtgan hai aur main hun
ye dard-e-jawedan hai aur main hun
kahan ho karwan walo kahan ho
talash-e-karwan hai aur main hun
tasawwur mein baharen hain gul afshan
nigahon mein khizan hai aur main hun
zara awaz de ai daur-e-mazi
tira dard-e-nihan hai aur main hun
faqat meri khamoshi hai ghazal khwan
sukut-e-be karan hai aur main hun
chaman walo khabar bhi hai tumhen kuchh
ke yad-e-ashiyan hai aur main hun
miri taqdir kante chun rahi hai
bahar-e-bostan hai aur main hun
mire naghmat par khush hone wale
mira soz-e-nihan hai aur main hun
tarasti hain kharidaron ko nazren
lab-e-gauhar fishan hai aur main hun
main apne ap ko gum kar chuka hun
ye ehsas-e-ziyan hai aur main hun
qarib-e-gulsitan phirta hun lekin
talash-e-gulsitan hai aur main hun
mire ashar ki rudad azad
mira khun-e-rawan hai aur main hun