Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jagan Nath Azad

جگن ناتھ آزاد

1918–2004

Poems

  1. ibtidā ye thī ke maiñ thā aur da.avā ilm kāintihā ye hai ke is da.ave pe sharmāyā bahut
  2. asl meñ ham the tumhāre sāth mahv-e-guftugūjab ḳhud apne āp se ham guftugū karte rahe
  3. ik bār agar qafas kī havā rās ā ga.īai ḳhud fareb phir havas-e-bāl-o-par kahāñ
  4. bahār āte hī ṭakrāne lage kyūñ sāġhar-o-mīnābatā ai pīr-e-mai ḳhāna ye mai ḳhānoñ pe kyā guzrī
  5. bahār ā.ī hai aur merī nigāheñ kāñp uṭheñ haiñyahī tevar the mausam ke jab ujṛā thā chaman apnā
  6. tirī dūrī kā mujh ko ġham nahīñ haike furqat meñ bhī lazzat kam nahīñ hai
  7. tumheñ kuchh us kī ḳhabar bhī hai ai chaman vālosahar ke ba.ad nasīm-e-sahar pe kyā guzrī
  8. chalte rahe ham tund havā.oñ ke muqābilāzād charāġh-e-tah dāmāñ na rahe ham
  9. ḍhūñḍhne par bhī na miltā thā mujhe apnā vajūdmaiñ talāsh-e-dost meñ yūñ be nishāñ thā dosto
  10. sukūn-e-dil jahān besh-o-kam meñ ḍhūñḍne vāleyahāñ har chīz miltī hai sukūn-e-dil nahīñ miltā
  11. kināre hī se tūfāñ kā tamāshā dekhne vālekināre se kabhī andāza-e-tūfāñ nahīñ hotā
  12. maiñ kyā karūñ ke zabt tamannā ke bāvajūdbe iḳhtiyār lab pe tirā nām ā gayā
  13. nīnd kyā hai zarā sī der kī mautmaut kyā kyā hai tamām umr kī nīnd
  14. ham ne burā bhalā hī sahī kām to kiyātum ko to etirāz hī karne kā shauq thā