Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jagan Nath Azad

جگن ناتھ آزاد

1918–2004

Poems

  1. ab maiñ hūñ āp ek tamāshā banā huāguzrā ye kaun merī taraf dekhtā huā
  2. itnā bhī shor to na ġham-e-sīna chāk karishq ik latīf shola hai us ko na ḳhāk kar
  3. ik nazar hī dekhā thā shauq ne shabāb un kādin ko yād hai un kī rāt ko hai ḳhvāb un kā
  4. auj-e-kamāl-e-sher hai hamd-o-sanā girīmujh ko sikhā ga.ī hai yahī kuchh suḳhanvarī
  5. ai dil-e-nādāñ matā-e-kam nigāhī par na jāaur bhī kuchh dekh jismoñ kī adā hī par na jā
  6. phir lauṭ kar ga.e na kabhī dasht-o-dar se hamnikle bas ek bār kuchh is tarah ghar se ham
  7. tamām umr mire dil ko ye ġhurūr rahāke ek lamhe ko ye bhī tire huzūr rahā
  8. terā ḳhayāl hai dil-e-hairāñ liye hueyā zarra āftāb kā sāmāñ liye hue
  9. jab apne naġhme na apnī zabāñ tak ā.etire huzūr ham ā kar bahut hī pachhtā.e
  10. jalva tirā is tarah se nākām na hotāham tūr pe hote to ye anjām na hotā
  11. ḳhayāl-e-yār jab ātā hai bītābānh ātā haike jaise sham.a kī jānib koī parvāna ātā hai
  12. dil kā jahān terā chahak kar sañvar gayājalva tirā nazar se jo dil tak utar gayā
  13. kab is meñ shak mujhe hai jo lazzat hai qāl meñlekin vo bāt is meñ kahāñ hai jo hāl meñ
  14. koī iz.hār-e-ġham-e-dil kā bahāna bhī nahīñho bahāna bhī jo koī to zamāna bhī nahīñ
  15. mirī chashm-e-tamāshā ab jahāñ haitajallī kārvāñ dar kārvāñ hai
  16. mirī umr-e-ravāñ hai aur maiñ hūñye jins-e-rā.īgāñ hai aur maiñ hūñ
  17. mumkin nahīñ ke bazm-e-tarab phir sajā sakūñab ye bhī hai bahut ke tumheñ yād ā sakūñ
  18. maiñ dil meñ un kī yād ke tūfāñ ko pāl karlāyā hūñ ek mauj taġhazzul nikāl kar
  19. nashe meñ hūñ magar ālūda-e-sharāb nahīñḳharāb hūñ magar itnā bhī maiñ ḳharāb nahīñ
  20. yūñ ik sabaq-e-mehr-o-vafā chhoṛ ga.e hamhar rāh meñ naqsh-e-kaf pā chhoṛ ga.e ham