Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Jafar Shirazi

b. 1920

Poems

Meter
  1. apne ehsās se bāhar nahīñ hone detārāz zāhir bhī ye mujh par nahīñ hone detā
  2. arz-o-samā pe rang thā kaisā utar gayāāndhī chalī to shām kā chehra utar gayā
  3. bijlī kaṛkī bādal garjā meñ ḳhāmosh rahāis kohrām meñ bhī ai duniyā meñ ḳhāmosh rahā
  4. ba sat.h-e-āb koī aks nātavāñ na paṛāhavā guzar bhī ga.ī aur kahīñ nishāñ na paṛā
  5. pata milā hai vo thā merā ham safar bahut der ba.ad jā karkahāñ kahāñ se milī hai mujh ko ḳhabar bahut der ba.ad jā kar
  6. jān aise ḳhvāboñ se kis tarah chhuṛā.ūñ meñshahr so gayā sārā ab kise jagā.ūñ meñ
  7. jī laraztā hai umaḍtī huī tanhā.ī seab nikālo mujhe is rāt kī pahnā.ī se
  8. husn ānkhoñ meñ rahe dil meñ javānī to rahezindagānī tere hone kī nishānī to rahe
  9. dil-e-nādāñ koī mahshar na uṭhānā is vaqtā rahā hai mirī bātoñ meñ zamānā is vaqt
  10. din dahaktī dhūp ne mujh ko jalāyā der takrāt tanhā.ī meñ kālā abr barsā der tak
  11. din nikaltā hai to sāmān-e-safar ḍhūñḍte haiñrāt paṛtī hai to ham apnī ḳhabar ḍhūñḍte haiñ
  12. rāstoñ meñ ḍher ho kar phūl se paikar girebarg kitne āndhiyoñ ke pā.oñ meñ ā kar gire
  13. aks jā ba jā apnī zāt ke girātā haikaun āsmānoñ se ā.īne girātā hai