Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Habib.I.Kinkhabwala

Poems

Meter
  1. ab hameñ is tarah sazā denāvaqt āne pe tum daġhā denā
  2. itnī shadīd dhūp thī ab ke bahār meñjalne lage the phūl tire intizār meñ
  3. is zamīn-e-ġham-e-judā.ī parpā.oñ phisleñge sab ke kā.ī par
  4. agar tum pe guzārī zindagī haibahut achchhī hamārī zindagī hai
  5. batā.o dar darīcha bām kyā haitumhāre nām kā ham nām kyā hai
  6. terī kamāñ ke bas se bhī āge nikal gayāmaiñ ishq meñ havas se bhī āge nikal gayā
  7. foṭo ko us ne phāṛ ke ṭebal pe rakh diyāto maiñ ne muñh bigāṛ ke ṭebal pe rakh diyā
  8. kitnī ajīb bāt hai tere binā mujhehar chīz lutf dene lagī hai zarā mujhe
  9. koī achchhā nahīñ ḳhāndāñ meñ mireḍor bhiṛtī rahī āsmāñ meñ mire
  10. mujhe to qaid se apnī rihā.ī kyūñ nahīñ detāagar to hai judā to phir judā.ī kyūñ nahīñ detā
  11. maiñ ne tamām umr kā ḳhāka nigal liyādo pal kī bhāg dauṛ meñ rastā nigal liyā
  12. vagarna rāt thī gahrī azal senikālā chānd ko ham ne baġhal se
  13. havā kī nazar se bachā āte ātekahīñ bujh na jā.e diyā āte āte