Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Faisal Azeem

b. 1974

Poems

  1. ab kisī tasvīr kī ra.anā.iyāñ bāteñ kareñmaiñ to chup hūñ ab mirī tanhā.iyāñ bāteñ kareñ
  2. use ma.alūm hai sab kuchh vahī hai rāzdāñ apnāmagar mujh se hī sunnā chāhtā hai vo bayāñ apnā
  3. ik hāth pe ānkheñ rakhī haiñ ik hāth pe chehrā hotā haihar gām madārī baiṭhe haiñ har vaqt-e-tamāshā hotā hai
  4. bharī hai āg jeboñ meñ kaf-e-afsos milte haiñhamārī hī kamā.ī se hamāre hāth jalte haiñ
  5. palkeñ nīnd se bojhal haiñ yā ab manzar kī tāb nahīñkyūñ un jaltī ānkhoñ meñ ab rang barange ḳhvāb nahīñ
  6. tirī talḳhī ko chakhūñ yā tire husn-e-ma.ānī kokitāb-e-zindagī kis ne likhā merī kahānī ko
  7. tasvīr nā mukammal ik tishnagī kā ḳhākapar phaṛphaṛā rahā hai anqā mirī sadā kā
  8. jise kal rāt bhar pūjā gayā thāvo but kyūñ sub.h ko ṭūṭā huā thā
  9. ḳhayāloñ ko tire mohlat agar deñye ānkhoñ meñ lahū kā rang bhar deñ
  10. dil par dhaṛkan dhaṛkan par vahm utāre jāte haiñham apne hī ḳhauf ke hāthoñ māre jāte haiñ
  11. kaṭ ga.īñ jab josh-e-iz.hār-e-hunar meñ ungliyāñtab kahīñ ḍūbeñ mire ḳhūn-e-jigar meñ ungliyāñ
  12. kaun sī maḳhlūq hai ye ḳhāk parchāhtī hai thūkannā aflāk par
  13. go tār-e-ankabūt āyā nahīñ ab tak gumānoñ meñmagar kuchh makṛiyoñ kī sarsarāhaṭ sī hai kānoñ meñ
  14. na chehre se na ānkhoñ se ayāñ ishqabhī dil par tire utrā kahāñ ishq
  15. ye mantar bhī purāne jām-e-jam bhībahut dekhe haiñ ye naqsh-e-qadam bhī