Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

بیاں احسن اللہ خان

Poems

Meter
  1. pūchhtā kaun hai ḍartā hai to ai yār abasqatl karne se mire hai tujhe inkār abas
  2. terā sitam jo mujh se gadā ne sahā sahātū bādshah hai jo mujhe tū ne kahā kahā
  3. teġh chaṛh us kī sān par ā.īdekheñ kis kis kī jān par ā.ī
  4. jādū thī sehr thī balā thīzālim ye tirī nigāh kyā thī
  5. jā kahe kū-e-yār meñ koīmar gayā intizār meñ koī
  6. jo zamīñ par farāġh rakhte haiñāsmāñ par dimāġh rakhte haiñ
  7. dil ab is dil shikan ke pās kahāñchīl ke ghonsle meñ mās kahāñ
  8. rāt is tunuk mizāj se kuchh bāt baṛh ga.īvo rūṭh kar gayā to ġhazab rāt baṛh ga.ī
  9. zulf terī ne pareshāñ kiyā ai yār mujheterī ānkhoñ ne kiyā āp sā bīmār mujhe
  10. shikva apne tāli.oñ kī nārasā.ī kā karūñyā gila ai shoḳh terī be vafā.ī kā karūñ
  11. farhād kis umīd pe lātā hai jū-e-shervāñ ḳhūn kī havas hai nahīñ ārzū-e-sher
  12. koī samjhā.iyo yāro mirā mahbūb jātā haimirā maqsūd jātā hai mirā matlūb jātā hai
  13. koī kisī kā kahīñ āshnā nahīñ dekhāsivā.e us ke in ānkhoñ ne kyā nahīñ dekhā
  14. kahā aġhyār kā haq meñ mire manzūr mat kījomujhe nazdīk se apne kabhū to dūr mat kījo
  15. kahtā hai kaun hijr mujhe sub.h-o-shām hopar vasl meñ bhī lutf nahīñ jo mudām ho
  16. le ke dil us shoḳh ne ik dāġh sīne par diyājo liyā us kā evaz us se mujhe behtar diyā
  17. mat satā mujh ko ān ān azīzṭuk kahā bhī kisī kā mān azīz
  18. maiñ tire ḍar se ro nahīñ saktāgard-e-ġham-e-dil se dho nahīñ saktā
  19. na faqat yār ban sharāb hai talḳhaish-o-ārām-o-ḳhūrd-o-ḳhvāb hai talḳh
  20. yā rab na hind hī meñ ye māṭī ḳharāb hojā kar najaf meñ ḳhāk-e-dar-e-bū turāb ho
  21. ye ārzū hai ke vo nāma bar se le kāġhazbalā se phāṛ ke phir hāth meñ na le kāġhaz
  22. ye ḳhūb rū na chhurī ne kaṭār rakhte haiñnigāh-e-lutf se ālam ko mār rakhte haiñ