Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Balmohan panday

b. 1998

Poems

  1. āġhāz se anjām safar dekh rahā hūñdekhā nahīñ jātā hai magar dekh rahā hūñ
  2. udās rahnā bhī ek kalā hai udās rahiyekisī kisī ko ye fan milā hai udās rahiye
  3. is se pahle ke koī aur haṭā de mujh koapne pahlū se kahīñ dūr biṭhā de mujh ko
  4. tire ḳhayāl kā dāman suḳhan ne thām liyāfirāq meñ bhī mohabbat se ḳhūb kām liyā
  5. ṭūṭe dil se koī ummīd lagā kar rakhnāitnā āsān nahīñ phūl pe patthar rakhnā
  6. dayār-e-ġham se ham bāhar nikal ke sher kahte haiñmasā.il haiñ bahut se un meñ ḍhal ke sher kahte haiñ
  7. ravāngī meñ samay kā ḳhayāl karte haiñphir us ko bhej ke pahroñ malāl karte haiñ
  8. sab ke honṭoñ pe ye marne kī duā.eñ kaisīchāra gar tū ne hameñ deñ haiñ davā.eñ kaisī
  9. sar-e-firāq bhī tark-e-anā nahīñ hotīke ṭūṭ jātī hai dīvār vā nahīñ hotī
  10. samay se pahle bhale shām-e-zindagī ā.ekisī tarah bhī udāsī kā ghā.o bhar jā.e
  11. zā.e huā tamām hunar nīnd ā ga.īshab ko sajā rahā thā magar nīnd ā ga.ī
  12. aish māzī ke ginā hāl kā ta.ana de deghar palaṭne ke liye koī bahāna de de
  13. khul ke ro lene se dil halkān ho jā.egā kyāmuskurā dūñgā to sab āsān ho jā.egā kyā
  14. nikal pā.oñ meñ kaise is asar semahakte phūl jhaṛte haiñ nazar se