Poet
عاشق اکبرآبادی
Poems
- ان سے دو آنکھ سے آنسو بھی بہائے نہ گئےقبر عاشق کے نشاں بھی تو مٹائے نہ گئےun se do ānkh se ānsū bhī bahā.e na ga.eqabr āshiq ke nishāñ bhī to miṭā.e na ga.e
- اے دل اس زلف کی رکھیو نہ تمنا باقیحشر تک ورنہ رہے گی شب یلدا باقیai dil is zulf kī rakhiyo na tamannā bāqīhashr tak varna rahegī shab-e-yaldā bāqī
- تجھ کو کس منہ سے بے وفا کہئےکوئی پوچھے سبب تو کیا کہئےtujh ko kis muñh se be vafā kahiyekoī pūchhe sabab to kyā kahiye
- جو دل میں خون تمنا کیا نہ کرتے ہمتو مثل شعلہ بھڑک کر جلا نہ کرتے ہمjo dil meñ ḳhūn-e-tamannā kiyā na karte hamtū misl-e-shola bhaṛak kar jalā na karte ham
- داغوں سے دل و سینہ کے افروختہ جاں ہوںگو میں چمن تازہ ہوں پر وقف خزاں ہوںdāġhoñ se dil-o-sīna ke afroḳhta jāñ hūñgo maiñ chaman tāza hūñ par vaqf ḳhizāñ hūñ
- روز دینے لگے آزار یہ کیااور سمجھتے ہو اسے پیار یہ کیاroz dene lage āzār ye kyāaur samajhte ho use pyār ye kyā
- رہی ان کی چین جبیں دیر تکچڑھایا کئے آستیں دیر تکrahī un kī chain-e-jabīñ der takchaṛhāyā kiye āstīñ der tak
- ستم ہے وہ پھر بد گماں ہو رہا ہےپس امتحاں امتحاں ہو رہا ہےsitam hai vo phir bad gumāñ ho rahā haipas imtihāñ imtihāñ ho rahā hai
- فلک چکر میں کیوں چونسٹھ گھڑی ہےگرہ اس کے بھی طالع میں کڑی ہےfalak chakkar meñ kyūñ chaunsaṭh ghaṛī haigirah us ke bhī tāle meñ kaṛī hai
- کون کہتا ہے کہ مرنا مرا اچھا نہ ہوافکر درماں نہ ہوئی رنج مداوا نہ ہواkaun kahtā hai ke marnā mirā achchhā na huāfikr-e-darmāñ na huī ranj mudāvā na huā
- گردش دوراں سے یہاں کس کو فراغ آیا ہے ہاتھہاں مگر آیا تو اک حسرت کا داغ آیا ہے ہاتھgardish-e-daurāñ se yahāñ kis ko farāġh āyā hai hāthhāñ magar āyā to ik hasrat kā dāġh āyā hai hāth
- گزرے وعدے کو وہ خود یاد دلا دیتے ہیںدل کی سوئی ہوئی حسرت کو جگا دیتے ہیںguzre va.ade ko vo ḳhud yād dilā dete haiñdil kī soī huī hasrat ko jagā dete haiñ
- لگائے بیٹھے ہیں مہندی جو میرے خوں سے پوروں میںیہی تو رہزنوں میں ہیں یہی ہیں دل کے چوروں میںlagā.e baiṭhe haiñ mehndī jo mere ḳhūñ se poroñ meñyahī to rahzanoñ meñ haiñ yahī haiñ dil ke choroñ meñ
- نہ مانا میرا کہنا دل گیا کیوں داد خواہی کوسزا دیتے ہیں واں مجرم بنا کر بے گناہی کوna mānā merā kahnā dil gayā kyūñ dād ḳhvāhī kosazā dete haiñ vāñ mujrim banā kar be gunāhī ko
- وہ وہاں غیر کو مہمان کئے بیٹھے ہیںہم یہاں عیش کا سامان کئے بیٹھے ہیںvo vahāñ ġhair ko mehmān kiye baiṭhe haiñham yahāñ aish kā sāmān kiye baiṭhe haiñ
- ہماری اس سے جو صورت ہوئی صفائی کیہجوم غم نے عدو پر بڑی چڑھائی کیhamārī us se jo sūrat huī safā.ī kīhujūm-e-ġham ne adū par baṛī chaṛhā.ī kī
- ہوس کیجے نہ عمر جاوداں کیہے عمر خضر بھی ایسی کہاں کیhavas kīje na umr-e-jāvedāñ kīhai umr-e-ḳhizr bhī aisī kahāñ kī
- فتنہ خو لے گئی دل چھین کے جھٹ پٹ ہم سےاور پھر سامنے آنے میں ہے گھونگھٹ ہم سےfitna ḳhū le ga.ī dil chhīn ke jhaṭ paṭ ham seaur phir sāmne āne meñ hai ghūnghaṭ ham se