Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Aamir Ata

b. 1994

Poems

Meter
  1. ānkh to un paṛh hai aur nādān haidil kī ḳhvāhish ek hī insān hai
  2. ab vo sab kuchh kar rahe haiñ dostī kī āṛ meñġhair mumkin thā jo shāyad dushmanī kī āṛ meñ
  3. is tarah to lag rahā hai chānd bhī ḳhatre meñ haius se mil kar maiñ ne jānā raushnī ḳhatre meñ hai
  4. batā to ai chaman lāyā kahāñ setirī ḳhushbū to miltī hai fulāñ se
  5. banām-e-ishq dil toṛā gayā haibanā kar phir mujhe ḍhāyā gayā hai
  6. be hijābāna vo kal jab bar sar-e-mahfil ga.ejitne murjhā.e the chehre ek dam se khul ga.e
  7. pūre majma.a ko lājavāb kiyāhusn par us ne jab ḳhitāb kiyā
  8. pahle apnāyā ḳhār phūloñ kātab kahīñ pāyā pyār phūloñ kā
  9. ḳhushī kā ek lamha chāhiye thāghaṛī bhar sāth terā chāhiye thā
  10. sab ko apnī tarah samajhtī haiyār tū bhī na kitnī bhūlī hai
  11. sach batānā ke mere bin jānāñkaise kaṭṭe haiñ tere din jānāñ
  12. ishq meñ ab ḳhūn pānī kījiyenazr-e-vahshat ye javānī kījiye
  13. umr guzrī hai tirī galiyoñ ke chakkar kāṭ karkyūñ na likhūñ ḳhud ko majnūñ meñ suḳhanvar kāṭ kar
  14. kisī tarah to use mār dūñ jo bāhar haivo shaḳhs kaise mire gā jo mere andar hai
  15. kisī ke hijr ke sā.e meñ ā khaṛā hūñ maiñajīb dukh hai mirā chhā.oñ meñ jalā hūñ maiñ
  16. nīchī nazar kushāda jabīñ darmiyāna qadgesū darāz shīrīñ zabāñ husn mustanad
  17. ham to rote haiñ ronā ḳhvāhish kāvo maza le rahe haiñ bārish kā
  18. yād bhī us kī ḳhvāb kī sī haiek laṛkī hijāb kī sī hai