اب وہ سب کچھ کر رہے ہیں دوستی کی آڑ میں
Aamir Ata (b. 1994)اب وہ سب کچھ کر رہے ہیں دوستی کی آڑ میں
غیر ممکن تھا جو شاید دشمنی کی آڑ میں
اس قدر نخرے نہ کر اے موت آ جا سامنے
کب تلک چھپ کر رہے گی زندگی کی آڑ میں
آج اک محفل میں جب اس سے نظر ٹکرا گئی
ہم نے کہہ دی دل کی باتیں شاعری کی آڑ میں
اک سلیقے سے کیا ہے پھول دے کر پھول کو
عشق کا اظہار چودہ فروری کی آڑ میں
پچھلی شب کا واقعہ اب کیا بتاؤں دوستوں
چوم آیا چاند کو میں تیرگی کی آڑ میں
ab wo sab kuchh kar rahe hain dosti ki ar mein
ghair mumkin tha jo shayad dushmani ki ar mein
is qadar nakhre na kar ai maut a ja samne
kab talak chhup kar rahegi zindagi ki ar mein
aj ik mahfil mein jab us se nazar takra gai
ham ne kah di dil ki baten shayari ki ar mein
ik saliqe se kya hai phul de kar phul ko
ishq ka izhar chauda farwari ki ar mein
pichhli shab ka waqia ab kya bataun doston
chum aya chand ko main tirgi ki ar mein