Poet
Zafar Zaidi
1950–1983
Poems
- اب اس کے ملنے کا کوئی گمان بھی تو نہیںکہ میرے شہر میں اس کا مکان بھی تو نہیںab us ke milne kā koī gumān bhī to nahīñke mere shahr meñ us kā makān bhī to nahīñ
- اس سے پہلے کہ نیا پھر کوئی حملہ ہو جائےجاگتے رہیے یہاں تک کہ سویرا ہو جائےis se pahle ke nayā phir koī hamla ho jā.ejāgte rahiye yahāñ tak ke saverā ho jā.e
- اس طرح ٹوٹ کر گرا پانیبادلوں میں نہیں بچا پانیis tarah ṭūṭ kar girā pānībādaloñ meñ nahīñ bachā pānī
- اک شجر ایسا محبت کا لگایا جائےجس کا ہمسائے کے آنگن میں بھی سایا جائےik shajar aisā mohabbat kā lagāyā jā.ejis kā hamsā.e ke āngan meñ bhī sāyā jā.e
- بجا تھا زعم اگر اپنے بال و پر کا تھاکہ شوق بھی تو اسے چاند کے سفر کا تھاbajā thā za.am agar apne bāl-o-par kā thāke shauq bhī to use chānd ke safar kā thā
- بعد اس کے میرے گھر میں اور کیا رہ جائے گابس کسی کے نام کا پتھر لگا رہ جائے گاba.ad us ke mere ghar meñ aur kiyā rah jā.egābas kisī ke nām kā patthar lagā rah jā.egā
- تمہارے شہر میں تھا بھی تو اک مسافر میںسو تھک کے بیٹھ گیا راستے میں آخر میںtumhāre shahr meñ thā bhī to ik musāfir meñso thak ke baiṭh gayā rāste meñ āḳhir meñ
- جو تاب دید ملی بھی تو کیا دکھائی دیادلوں کے بیچ عجب فاصلہ دکھائی دیاjo tāb dīd milī bhī to kyā dikhā.ī diyādiloñ ke bīch ajab fāsla dikhā.ī diyā
- چند فقرے زیر لب تڑپا کیےوہ ہمیں اور ہم انہیں دیکھا کیےchand fiqre zer-e-lab taṛpā kiyevo hameñ aur ham unheñ dekhā kiye
- حقیقتیں ہوں میسر تو خواب کیوں دیکھوںمیں تشنگی میں بھی سمت سراب کیوں دیکھوںhaqīqateñ hūñ muyassar to ḳhvāb kyūñ dekhūñmaiñ tishnagī meñ bhī samt-e-sarāb kyūñ dekhūñ
- دل و دماغ میں پھر مشورہ سا ہونے لگامیں اپنے آپ سے خود ہی لپٹ کے رونے لگاdil-o-dimāġh meñ phir mashvara sā hone lagāmaiñ apne āp se ḳhud hī lipaṭ ke rone lagā
- رات کو میں نے خواب عجب سا دیکھا ہےآگے آگ ہے روشن پیچھے دریا ہےrāt ko maiñ ne ḳhvāb ajab sā dekhā haiāge āg hai raushan pīchhe dariyā hai
- قدم قدم پہ عجب خوف سا گزرتا ہےوہ اپنے گاؤں میں جاتے ہوئے بھی ڈرتا ہےqadam qadam pe ajab ḳhauf sā guzartā haivo apne gā.oñ meñ jāte hue bhī ḍartā hai
- کھڑکیاں کھولیں تو مجھ کو آج اندازہ ہوامیرا ہی سایہ تھا وہ دیوار سے لپٹا ہواkhiṛkiyāñ kholeñ to mujh ko āj andāza huāmerā hī sāya thā vo dīvār se lipṭā huā
- نہ پھل نہ پھول نہ سایا شجر میں باقی ہےمگر وہ سوکھا ہوا پیڑ گھر میں باقی ہےna phal na phūl na sāyā shajar meñ bāqī haimagar vo sūkhā huā peṛ ghar meñ bāqī hai
- ہر ایک دن تھا اسی کا ہر ایک رات اس کیمرے بدن میں رہی مدتوں حیات اس کیhar ek din thā usī kā har ek rāt us kīmire badan meñ rahī muddatoñ hayāt us kī
- ہمارے گھر کا عجیب و غریب منظر ہےکہیں تو آگ لگی ہے کہیں سمندر ہےhamāre ghar kā ajīb-o-ġharīb manzar haikahīñ to āg lagī hai kahīñ samundar hai