Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Rahat Indori

راحت اندوری

1950–2020

Poems

Meter
  1. mujhe ḍubo ke bahut sharmsār rahtī haivo ek mauj jo dariyā ke pār rahtī hai
  2. mohabbatoñ ke safar par nikal ke dekhūñgāye pal sirāt agar hai to chal ke dekhūñgā
  3. masjidoñ ke sehn tak jānā bahut dushvār thāder se niklā to mere rāste meñ dār thā
  4. mere ashkoñ ne ka.ī ānkhoñ meñ jal thal kar diyāek pāgal ne bahut logoñ ko pāgal kar diyā
  5. mere hujre meñ nahīñ aur kahīñ par rakh doāsmāñ lā.e ho le ā.o zamīñ par rakh do
  6. mere kārobār meñ sab ne baṛī imdād kīdād logoñ kī gilā apnā ġhazal ustād kī
  7. maiñ lākh kah dūñ ke ākāsh hūñ zamīñ hūñ maiñmagar use to ḳhabar hai ke kuchh nahīñ hūñ maiñ
  8. nadī ne dhūp se kyā kah diyā ravānī meñujāle pā.oñ paṭakne lage haiñ pānī meñ
  9. na ham safar na kisī ham nashīñ se niklegāhamāre pā.oñ kā kānṭā hameñ se niklegā
  10. na.e safar kā jo elān bhī nahīñ hotātū zinda rahne kā armān bhī nahīñ hotā
  11. vo ik ik bāt pe rone lagā thāsamundar ābrū khone lagā thā
  12. hāth ḳhālī haiñ tire shahr se jāte jātejān hotī to mirī jān luṭāte jāte
  13. ham ne ḳhud apnī rahnumā.ī kīaur shohrat huī ḳhudā.ī kī
  14. hūñ lākh zulm magar bad duā nahīñ deñgezamīn māñ hai zamīñ ko daġhā nahīñ deñge
  15. yūñ sadā dete hue tere ḳhayāl āte haiñjaise ka.abe kī khulī chhat pe bilāl āte haiñ
  16. ye ḳhāk zāde jo rahte haiñ be zabān paṛeishāra kar deñ to sūraj zamīñ pe ān paṛe
  17. ye sard rāteñ bhī ban kar abhī dhuāñ uṛ jā.eñvo ik lihāf meñ oṛhūñ to sardiyāñ uṛ jā.eñ
  18. ik mulāqāt kā jādū ke utartā hī nahīñtirī ḳhushbū mirī chādar se nahīñ jātī hai
  19. botaleñ khol kar to pī barsoñāj dil khol kar bhī pī jā.e
  20. tujh se milne kī tamannā bhī bahut hai lekināne jāne meñ kirāya bhī bahut lagtā hai
  21. terī mahfil se jo niklā to ye manzar dekhāmujhe logoñ ne bulāyā mujhe chhū kar dekhā
  22. sūraj sitāre chānd mire sāth meñ rahejab tak tumhāre hāth mire hāth meñ rahe
  23. shāḳhoñ se ṭūṭ jā.eñ vo patte nahīñ haiñ hamāndhī se koī kah de ke auqāt meñ rahe
  24. kālij ke sab bachche chup haiñ kāġhaz kī ik nā.o liyechāroñ taraf dariyā kī sūrat phailī huī bekārī hai
  25. maiñ parbatoñ se laṛtā rahā aur chand loggīlī zamīn khod ke farhād ho ga.e
  26. میں مر جاؤں تو میری ایک الگ پہچان لکھ دینالہو ث میری پیشانی پے ہندستان لکھ دینا
  27. vo chāhtā thā ke kāsa ḳharīd le merāmaiñ us ke tāj kī qīmat lagā ke lauṭ āyā
  28. ham apnī jān ke dushman ko apnī jān kahte haiñmohabbat kī isī miṭṭī ko hindsitān kahte haiñ
  29. hamāre mīr taqī mīr ne kahā thā kabhīmiyāñ ye āshiqī izzat bigāṛ detī hai