میرے اشکوں نے کئی آنکھوں میں جل تھل کر دیا
Rahat Indori (1950–2020)میرے اشکوں نے کئی آنکھوں میں جل تھل کر دیا
ایک پاگل نے بہت لوگوں کو پاگل کر دیا
اپنی پلکوں پر سجا کر میرے آنسو آپ نے
راستے کی دھول کو آنکھوں کا کاجل کر دیا
میں نے دل دے کر اسے کی تھی وفا کی ابتدا
اس نے دھوکہ دے کے یہ قصہ مکمل کر دیا
یہ ہوائیں کب نگاہیں پھیر لیں کس کو خبر
شہرتوں کا تخت جب ٹوٹا تو پیدل کر دیا
دیوتاؤں اور خداؤں کی لگائی آگ نے
دیکھتے ہی دیکھتے بستی کو جنگل کر دیا
زخم کی صورت نظر آتے ہیں چہروں کے نقوش
ہم نے آئینوں کو تہذیبوں کا مقتل کر دیا
شہر میں چرچا ہے آخر ایسی لڑکی کون ہے
جس نے اچھے خاصے اک شاعر کو پاگل کر دیا
mere ashkon ne kai ankhon mein jal thal kar diya
ek pagal ne bahut logon ko pagal kar diya
apni palkon par saja kar mere ansu ap ne
raste ki dhul ko ankhon ka kajal kar diya
main ne dil de kar use ki thi wafa ki ibtida
us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diya
ye hawaen kab nigahen pher len kis ko khabar
shohraton ka takht jab tuta to paidal kar diya
dewtaon aur khudaon ki lagai ag ne
dekhte hi dekhte basti ko jangal kar diya
zakhm ki surat nazar ate hain chehron ke nuqush
ham ne ainon ko tahzibon ka maqtal kar diya
shahr mein charcha hai akhir aisi larki kaun hai
jis ne achchhe khasse ik shayar ko pagal kar diya