Poet
Rahat Indori
راحت اندوری1950–2020
Poems
- مجھے ڈبو کے بہت شرمسار رہتی ہےوہ ایک موج جو دریا کے پار رہتی ہےmujhe ḍubo ke bahut sharmsār rahtī haivo ek mauj jo dariyā ke pār rahtī hai
- محبتوں کے سفر پر نکل کے دیکھوں گایہ پل صراط اگر ہے تو چل کے دیکھوں گاmohabbatoñ ke safar par nikal ke dekhūñgāye pal sirāt agar hai to chal ke dekhūñgā
- مسجدوں کے صحن تک جانا بہت دشوار تھادیر سے نکلا تو میرے راستے میں دار تھاmasjidoñ ke sehn tak jānā bahut dushvār thāder se niklā to mere rāste meñ dār thā
- میرے اشکوں نے کئی آنکھوں میں جل تھل کر دیاایک پاگل نے بہت لوگوں کو پاگل کر دیاmere ashkoñ ne ka.ī ānkhoñ meñ jal thal kar diyāek pāgal ne bahut logoñ ko pāgal kar diyā
- میرے حجرے میں نہیں اور کہیں پر رکھ دوآسماں لائے ہو لے آؤ زمیں پر رکھ دوmere hujre meñ nahīñ aur kahīñ par rakh doāsmāñ lā.e ho le ā.o zamīñ par rakh do
- میرے کاروبار میں سب نے بڑی امداد کیداد لوگوں کی گلا اپنا غزل استاد کیmere kārobār meñ sab ne baṛī imdād kīdād logoñ kī gilā apnā ġhazal ustād kī
- میں لاکھ کہہ دوں کہ آکاش ہوں زمیں ہوں میںمگر اسے تو خبر ہے کہ کچھ نہیں ہوں میںmaiñ lākh kah dūñ ke ākāsh hūñ zamīñ hūñ maiñmagar use to ḳhabar hai ke kuchh nahīñ hūñ maiñ
- ندی نے دھوپ سے کیا کہہ دیا روانی میںاجالے پاؤں پٹکنے لگے ہیں پانی میںnadī ne dhūp se kyā kah diyā ravānī meñujāle pā.oñ paṭakne lage haiñ pānī meñ
- نہ ہم سفر نہ کسی ہم نشیں سے نکلے گاہمارے پاؤں کا کانٹا ہمیں سے نکلے گاna ham safar na kisī ham nashīñ se niklegāhamāre pā.oñ kā kānṭā hameñ se niklegā
- نئے سفر کا جو اعلان بھی نہیں ہوتاتو زندہ رہنے کا ارمان بھی نہیں ہوتاna.e safar kā jo elān bhī nahīñ hotātū zinda rahne kā armān bhī nahīñ hotā
- وہ اک اک بات پہ رونے لگا تھاسمندر آبرو کھونے لگا تھاvo ik ik bāt pe rone lagā thāsamundar ābrū khone lagā thā
- ہاتھ خالی ہیں ترے شہر سے جاتے جاتےجان ہوتی تو مری جان لٹاتے جاتےhāth ḳhālī haiñ tire shahr se jāte jātejān hotī to mirī jān luṭāte jāte
- ہم نے خود اپنی رہنمائی کیاور شہرت ہوئی خدائی کیham ne ḳhud apnī rahnumā.ī kīaur shohrat huī ḳhudā.ī kī
- ہوں لاکھ ظلم مگر بد دعا نہیں دیں گےزمین ماں ہے زمیں کو دغا نہیں دیں گےhūñ lākh zulm magar bad duā nahīñ deñgezamīn māñ hai zamīñ ko daġhā nahīñ deñge
- یوں صدا دیتے ہوئے تیرے خیال آتے ہیںجیسے کعبے کی کھلی چھت پہ بلال آتے ہیںyūñ sadā dete hue tere ḳhayāl āte haiñjaise ka.abe kī khulī chhat pe bilāl āte haiñ
- یہ خاک زادے جو رہتے ہیں بے زبان پڑےاشارہ کر دیں تو سورج زمیں پہ آن پڑےye ḳhāk zāde jo rahte haiñ be zabān paṛeishāra kar deñ to sūraj zamīñ pe ān paṛe
- یہ سرد راتیں بھی بن کر ابھی دھواں اڑ جائیںوہ اک لحاف میں اوڑھوں تو سردیاں اڑ جائیںye sard rāteñ bhī ban kar abhī dhuāñ uṛ jā.eñvo ik lihāf meñ oṛhūñ to sardiyāñ uṛ jā.eñ