Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Mushafi Ghulam Hamdani

غلام علی ہمدانی مصحفی

1751–1824Born in AmrohaDied in Lucknow

Ghulam Hamdani, who wrote as Mushafi, was a ghazal poet whose style took shape in Delhi before he moved to Lucknow in the reign of Asaf-ud-Daula. His verse joins the Delhi manner with that of Lucknow, and he is remembered for his poetic contests with Insha. He left several Urdu divans, a Persian divan and three tazkiras of poets, among them Tazkira-e-Hindi.

Writes about

  • Love
  • Beauty
  • Pathos
  • Mysticism

Poems

  1. āshiq to mileñge tujhe insāñ na milegāmujh sā to koī banda-e-farmāñ na milegā
  2. āshiq kahīñ haiñ jin ko vo be nang log haiñma.ashūq jin kā nām hai vo sang log haiñ
  3. aql ga.ī hai sab kī khoī kyā ye ḳhalq davānī haiāp halāl meñ hotā hūñ un logoñ ko qurbānī hai
  4. umr pas mānda kuchh dalīl sī haizindagānī bhī ab qalīl sī hai
  5. ġhusse ko jāne dīje na tevrī chaṛhā.iyemaiñ gāliyāñ bhī āp kī khā.eñ ab ā.iye
  6. ġham tirā dil meñ mire phir āg sulagane lagāphir dhuāñ sā us se kuchh uṭhtā nazar āne lagā
  7. ġham-e-dil kā bayān chhoṛ ga.eham ye apnā nishān chhoṛ ga.e
  8. ġhair ke ghar to na rah rāt ko mehmān kahīñtā nā is bāt kā charchā ho mirī jān kahīñ
  9. fahmīda hai jo tujh ko to fahmyad se nikalaur dīd kā jo shauq hai to dīd se nikal
  10. kām maiñ apne zuhūr-e-haq hai āphazrat-e-ādam ke to māñ thī na bāp
  11. kab ḳhūñ meñ bharā dāman-e-qātil nahīñ ma.alūmkis vaqt ye dil ho gayā bismil nahīñ ma.alūm
  12. kibriyā.ī kī adā tujh meñ haigarche to but hai ḳhudā tujh meñ hai
  13. kab sabā sū-e-asīrān-e-qafas ātī haikab ye un tak ḳhabar āmad-e-gul lātī hai
  14. kab lag sake jafā ko us kī vafā-e-ālamhai jis kā har karishma sabr āzmā.e ālam
  15. kabhū tak ke dar ko khaṛe rahe kabhū āh bhar ke chale ga.etire kūche meñ jo ham ā.e bhī to ṭhahar ṭhahar ke chale ga.e
  16. kabhī to baiṭhūñ hūñ jā aur kabhī uṭh ātā hūñmanūñ hūñ āp hī phir āphī rūṭh jātā hūñ
  17. kabhī vafā.eñ kabhī be vafā.iyāñ dekheñmaiñ un butoñ kī ġharaz āshnā.iyāñ dekheñ
  18. kapṛe badal ke ā.e the āg mujhe lagā ga.eapne libās surḳh kī mujh ko bhaṛak dikhā ga.e
  19. kuchh apnī jo hurmat tujhe manzūr ho ai shaiḳhtū bahs na mai ḳhvāroñ se chal dūr ho ai shaiḳh
  20. kidhar jā.iye aur kahāñ baiṭhiyeparachtā nahīñ dil jahāñ baiṭhiye
  21. kis rāh gayā lailā kā mahmil nahīñ ma.alūmhai bādiya reg aur hameñ manzil nahīñ ma.alūm
  22. kal to khele thā vo galī ḍanḍāḍanḍ pīl āj ho gayā sanḍā
  23. kahtī hai namāz-e-sub.h kī bānguṭh sub.h huī hai kuchh duā māñg
  24. kah gayā kuchh to zer-e-lab koījān detā hai be sabab koī
  25. khā lete haiñ ġhusse meñ talvār kaṭārī kyāham log haiñ saudā.ī auqāt hamārī kyā
  26. khel jāte haiñ jān par āshiqjān dete haiñ ān par āshiq
  27. kī āh ham ne lekin us ne idhar na dekhāis āh meñ to ham ne kuchh bhī asar na dekhā
  28. kyā daḳhl kisī se maraz-e-ishq shifā homumkin hai ke is dard kī duniyā meñ davā ho
  29. kyā kareñ jā ke gulsitāñ meñ hamhaiñ ba kunj-e-qafas fuġhāñ meñ ham
  30. kyā khīñche hai ḳhud ko dūr allāhallāh re tirā ġhurūr allāh
  31. kyā maiñ jātā hūñ sanam chhuṭ tire dar aur kahīñle qasam mujh se jo merā ho guzar aur kahīñ
  32. kījiye zulm sazā vār jafā ham hī haiñkhīñchiye teġh ke muddat se fidā ham hī haiñ
  33. kyūñ ke kahiye ke adā bandī haishāyarī kyā hai havā bandī hai
  34. gar abr ghirā huā khaṛā haiānsū bhī talā huā khaṛā hai
  35. gar aur bhī mirī turbat pe yār ṭhahregātū zer-e-ḳhāk na ye be qarār ṭhahregā
  36. garche ai dil āshiq-e-shaidā hai tūlekin apne kām meñ yaktā hai tū
  37. gar ham se na ho vo dil sitāñ ekkar dīje zamīñ-o-āsmāñ ek
  38. gar ho tamancha band vo rashk-e-farangiyāñbānke muġhal bachche na kareñ ḳhāna jangiyāñ
  39. girya dil ko na sive chashm bahā.oḍūbtī hai bhanvar meñ jā kar nā.o
  40. ghar meñ bāshinde to ik nāz meñ mar jāte haiñaur jo ham sāye haiñ āvāz meñ mar jāte haiñ
  41. lagte haiñ nit jo ḳhūbāñ sharmāne bā.ole haiñham log vahshī ḳhabtī dīvāne bā.ole haiñ
  42. log kahte haiñ mohabbat meñ asar hotā haikaun se shahr meñ hotā hai kidhar hotā hai
  43. lekhe kī yāñ bahī na zar-o-māl kī kitābhai apne haq meñ vā shud-e-dil fāl kī kitāb
  44. lene lage jo chuṭkī yak bār baiṭhe baiṭheye chheṛ kyā nikālī ai yār baiṭhe baiṭhe
  45. liye ādam ne apne beṭe pānchjadī hotī hai haule haule ānch
  46. mujh se ik bāt kiyā kījiye basis qadar mehr-o-vafā kījiye bas
  47. mohabbat ne kyā kyā na āneñ nikāleñke tār-e-qalam ne zabāneñ nikāleñ
  48. maḳhlūq hūñ yā ḳhāliq-e-maḳhlūq numā hūñma.alūm nahīñ mujh ko ke maiñ kaun hūñ kyā hūñ
  49. muddat se hūñ maiñ sar ḳhush sahbā-e-shāyarīnādāñ hai jis ko mujh se hai da.avā.e shāyarī
  50. maz.hab kī mere yār agar justujū kareñmarte hue mirā na sū-e-qibla ro kareñ