
Poet
Mir Taqi Mir
میر تقی میر1723–1810Born in AgraDied in Lucknow
Mir Muhammad Taqi, who wrote as Mir, was one of the principal poets of the Delhi school of the Urdu ghazal. He spent much of his life in Delhi and, after Ahmad Shah Abdali's raids on the city, moved in 1782 to the court of Asaf-ud-Daula in Lucknow. His Urdu verse fills six divans, and he also wrote the Persian autobiography Zikr-e-Mir and Nikat-us-Shuara, an account of Urdu poets.
Writes about
- Love
- Sorrow
- Ruin of Delhi
- Divine love
Poems
- کوچے میں ترے آن کے اڑ بھی بیٹھےبے ہیچ ہر اک بات پہ لڑ بھی بیٹھےkūche meñ tire ān ke uṛ bhī baiṭhebe hech har ik bāt pe laṛ bhī baiṭhe
- کو عمر کہ اب فکر امیری کریےبن آوے تو اندیشۂ پیری کریےko umr ke ab fikr-e-amīrī kariyeban āve to andesha-e-pīrī kariye
- کہتا ہے یہ اپنی آنکھوں دیکھیں گے فقیربینش نہیں رکھتے کیا جواں ہوں کیا پیرkahtā hai ye apnī ānkhoñ dekheñge faqīrbenash nahīñ rakhte kyā javāñ hūñ kyā pīr
- کیا تم سے کہوں میرؔ کہاں تک روؤںروؤں تو زمیں سے آسماں تک روؤںkyā tum se kahūñ mīr kahāñ tak roūñroūñ to zamīñ se āsmāñ tak roūñ
- کیا کوفت تھی دل کے لخت کوٹے نکلےٹکڑے جو ہوئے جگر کے ٹوٹے نکلےkyā koft thī dil ke laḳht kūṭe nikleṭukṛe jo hue jigar ke ṭūṭe nikle
- کیا کہیے ادا بتوں سے کیا ہوتی ہےجو دل زدگاں پہ یہ جفا ہوتی ہےkyā kahiye adā butoñ se kyā hotī haijo dil zadagāñ pe ye jafā hotī hai
- کیا کہیے خراب ہوتے ہم کیسے پھرےدیکھا یہ بھی کہ سب کی نظروں سے گرےkyā kahiye ḳharāb hote ham kaise phiredekhā ye bhī ke sab kī nazroñ se gire
- کیا کیا اے عاشقی ستایا تونےکیسا کیسا ہمیں کھپایا تونےkyā kyā ai āshiqī satāyā tūnekaisā kaisā hameñ khapāyā tūne
- کیا کیا ہیں سلوک بد فقط غم ہی نہیںپھر ہم سے جنوں میں ضعف سے دم ہی نہیںkyā kyā haiñ sulūk bad faqat ġham hī nahīñphir ham se junūñ meñ zof se dam hī nahīñ
- کیا میرؔ تجھے جان ہوئی تھی بھاریجو اس بت سنگ دل سے کی تھی یاریkyā mīr tujhe jān huī thī bhārījo us but sang dil se kī thī yārī
- کیا میرؔ کا مذکور کریں سب ہے جہلپایا ہم نے اسے نہایت ہی سہلkyā mīr kā mazkūr kareñ sab hai jahlpāyā ham ne use nihāyat hī sahl
- کی حسن نے تجھ سے بے وفائی آخرخوبی نہ رہی نہ میرزائی آخرkī husn ne tujh se be vafā.ī āḳhirḳhūbī na rahī na mirzā.ī āḳhir
- کیسا احساں ہے خلق عالم کرناپھر عالم ہستی میں مکرم کرناkaisā ehsāñ hai ḳhalq ālam karnāphir ālam hastī meñ makarrim karnā
- گذرا یہ کہ شکوہ و شکایت کیجےیا آگے سخن اور حکایت کیجےgazrā ye ke shikva-o-shikāyat kījeyā āge suḳhan aur hikāyat kīje
- گو روکش ہفتاد و دو ملت ہم ہیںمرآت بدن نماے وحدت ہم ہیں
- گو میرؔ کہ احوال نہایت ہے سقیمکہتے ہیں اسے شافی و کافی و حکیمgo mīr ke ahvāl nihāyat hai saqemkahte haiñ use shāfī-o-kāfī-o-hakīm
- لو یار ستمگر نے لڑائی کی ہےاک ہی تلوار میں صفائی کی ہےlo yār sitamgar ne laṛā.ī kī haiik hī talvār meñ safā.ī kī hai
- مت مال کسی کا یار تل کر رکھناتو داؤ نہ یاں بہت سا جل کر رکھناmat māl kisī kā yār til kar rakhnātū dā.o na yāñ bahut sā jal kar rakhnā
- محشر میں اگر یہ آتشیں دم ہوگاہنگامہ سب اک لپٹ میں برہم ہوگاmahshar meñ agar ye ātishīñ dam hogāhangāma sab ik lipaṭ meñ bar.ham hogā
- مدت کے جو بعد جی بحال آتا ہےخاطر پہ جہاں جہاں ملال آتا ہےmuddat ke jo ba.ad jī bahāl ātā haiḳhātir pe jahāñ jahāñ malāl ātā hai
- مستی نہ کر اے میرؔ اگر ہے ادراکدامان بلند ابر نمط رکھ تو پاکmastī na kar ai mīr agar hai idrākdāmān-e-buland abr namat rakh to pāk
- مسجد میں تو شیخ کو خروشاں دیکھامیخانے میں جوش بادہ نوشاں دیکھاmasjid meñ to shaiḳh ko ḳharoshāñ dekhāmaiḳhāne meñ josh-e-bāda noshāñ dekhā
- ملنا دلخواہ اب خیال اپنا ہےجی تن میں رہا ہے سو وبال اپنا ہےmilnā dilḳhvāh ab ḳhayāl apnā haijī tan meñ rahā hai so vabāl apnā hai
- ملیے اس شخص سے جو آدم ہووےناز اس کو کمال پر بہت کم ہووےmiliye us shaḳhs se jo ādam hovenāz us ko kamāl par bahut kam hove
- میرؔ اس سے ملے کہ جو ملا بھی نہ کبھوجی یوں ہی گیا وہ آ پھرا بھی نہ کبھوmīr us se mile ke jo milā bhī na kabhūjī yūñ hī gayā vo ā phirā bhī na kabhū
- میرؔ اس کے ہوئے تھے ہم جو یار خاطرسو یاری بخت سے ہیں بار خاطرmīr us ke hue the ham jo yār ḳhātirso yārī baḳht se haiñ bār-e-ḳhātir
- وہ عہد گیا کہ جور اس کے سہیےوہ بات نہیں رہی کہ چپکے رہیےvo ahd gayā ke jaur us ke sahiyevo bāt nahīñ rahī ke chupke rahiye
- ہجراں میں کیا سب نے کنارہ آخراسباب گیا جینے کا سارا آخرhijrāñ meñ kiyā sab ne kināra āḳhirasbāb gayā jīne kā sārā āḳhir
- ہرچند کہ اے مہ اب تمامی ہے گیپر ہم جو گلہ کریں تو خامی ہے گیharchand ke ai mah ab tamāmī hai gīpar ham jo gila kareñ to ḳhāmī hai gī
- ہرچند کہ طاعت میں ہوا ہے تو پیرپر بات مری سن کہ نہیں بے تاثیرharchand ke tā.at meñ huā hai to pīrpar bāt mirī sun ke nahīñ be tāsīr
- ہر روز نیا ایک تماشا دیکھاہر کوچے میں سو جوان رعنا دیکھاhar roz nayā ek tamāshā dekhāhar kūche meñ so javān ra.anā dekhā
- ہر صبح غموں میں شام کی ہے ہم نےخونابہ کشی مدام کی ہے ہم نےhar sub.h ġhamoñ meñ shām kī hai ham neḳhonāba kashī mudām kī hai ham ne
- ہر صبح مرے سر پہ قیامت گذریہر شام نئی ایک مصیبت گذریhar sub.h mire sar pe qayāmat guzarīhar shām na.ī ek musībat guzarī
- ہر لحظہ رلاتا ہے کڑھاتا ہے مجھےہر آن ستاتا ہے کھپاتا ہے مجھےhar lahza rulātā hai kaṛhitā hai mujhehar ān satātā hai khapātā hai mujhe
- ہم سے تو بتوں کی وہ حیا کی باتیںوہ طرز کلام اس ادا کی باتیںham se to butoñ kī vo hayā kī bāteñvo tarz-e-kalām is adā kī bāteñ
- ہم میرؔ برے اتنے ہیں وہ اتنا خوبمتروک جہاں ہم ہیں وہ سب کا محبوبham mīr bure itne haiñ vo itnā ḳhūbmatrūk jahāñ ham haiñ vo sab kā mahbūb
- ہم میرؔ سے کہتے ہیں نہ تو رویا کرہنس کھیل کے ٹک چین سے بھی سویا کرham mīr se kahte haiñ na to royā karhañs khel ke ṭuk chain se bhī soyā kar
- ہیں قید قفس میں تنگ یوں تو کب کےرہتے تھے گلے ہزار نیچے لب کےhaiñ qaid-e-qafas meñ tang yūñ to kab kerahte the gale hazār nīche lab ke
- ہیں گوکہ سبھی تمھاری پیاری باتیںپر جی سے نہ جائیں گی تمھاری باتیںhaiñ goke sabhī tumhārī pyārī bāteñpar jī se na jā.eñgī tumhārī bāteñ
- یکسو یہ کہ عیش و کامرانی کرتےیا خوب طرح سے زندگانی کرتےyakso ye ke aish-o-kāmrānī karteyā ḳhūb tarah se zindagānī karte