Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kaif Moradaabadi

1907–1976

Poems

Meter
  1. ab sochtā hūñ jā.ūñ to jā.ūñ kidhar ko maiñai kāsh chhoṛtā na tirī rah guzar ko maiñ
  2. ahl-e-dil jo bhī bāt kahte haiñkoī rāz-e-hayāt kahte haiñ
  3. ek ik lamha guzārā jā rahā hai hosh meñai zahe qismat jo haiñ tūfān kī āġhosh meñ
  4. ai junūn-e-bandagī-e-shauq ye kyā kar diyāun ke dhoke meñ na jāne kis ko sajda kar diyā
  5. baṛhe chalo ke zamāne ko ye dikhānā haijahāñ hamāre qadam haiñ vahīñ zamāna hai
  6. baqā kī fikr karo ḳhud hī zindagī ke liyezamāna kuchh nahīñ kartā kabhī kisī ke liye
  7. jalve hūñ rūbarū to tamāshā kare koījab kuchh nazar na ā.e to phir kyā kare koī
  8. junūn-e-shauq kā hāsil na tum samjhe na ham samjhekahāñ donoñ kī hai manzil na tum samjhe na ham samjhe
  9. junūn-e-ishq kisī ko bhī yūñ na rās ā.evo mere pās to ā.e magar udās ā.e
  10. junūn-e-ishq ye kyā rang-e-mahfil hai jahāñ meñ hūñjo ālam hai mirā hī ālam-e-dil hai jahāñ meñ hūñ
  11. jo uṭhī thī merī taraf kabhī dil motabar kī talāsh meñmerī sārī umr guzar ga.ī isī ik nazar kī talāsh meñ
  12. chaman vāloñ se barq-e-be amāñ kuchh aur kahtī haimagar merī to shāḳh-e-āshiyāñ kuchh aur kahtī hai
  13. hālat-e-dil vahī rahī maqsad-e-dil ko pā ke bhīham to sukūñ na pā sake un ke qarīb jā ke bhī
  14. dil ġham se bhī bezār hai ma.alūm nahīñ kyūñye aish bhī ab yār hai ma.alūm nahīñ kyūñ
  15. dil meñ hai ik rāz jo honṭoñ tak ā saktā nahīñya.anī maiñ jis hāl meñ bhī hūñ batā saktā nahīñ
  16. rasā.ī sa.ī-e-nā mashkūr ho jā.e to kyā hogāqadam rakhte hī manzil dūr ho jā.e to kyā hogā
  17. zindagī kā koī his kaise adā karte haiñjo mohabbat nahīñ karte haiñ vo kyā karte haiñ
  18. sab jise kahte haiñ vaqf-e-ġham-e-jānāñ honāavvalīñ shart hai us ke liye insāñ honā
  19. ġham ne diloñ ko rām kiyā aur guzar gayāzālim ne apnā kām kiyā aur guzar gayā
  20. ġham-e-hastī na kuchh fikr-e-dil-o-jāñ hai jahāñ meñ hūñke har har gām par koī nigahbāñ hai jahāñ meñ hūñ
  21. kabhī giryāñ kabhī ḳhandāñ kabhī hairāñ hūñ maiñmuḳhtasar hai mirī rūdād ke insāñ hūñ maiñ
  22. kyā ḳhabar thī ishq meñ aisā bhī ik dūr ā.e haibāt kaisī sāns letā hūñ to jī ghabrā.e hai
  23. nazar nazar se milā.ī kyūñ thī nafas nafas meñ samā.e kyūñ theunheñ thā manzūr mujh se parda to sāmne mere ā.e kyūñ the
  24. vo ġham de rahe haiñ ḳhushī ho rahī haihaqīqat meñ ab āshiqī ho rahī hai
  25. vo qarīb bhī haiñ to kyā huā hameñ apne kām se kām haivahī justujū vahī be ḳhudī vahī zindagī kā nizām hai
  26. vahī kuchh zindagī meñ zindagī kā bhed pāte haiñjo paiham justujū karte haiñ barsoñ ġham uṭhāte haiñ
  27. ye sochtā hūñ ke ḳhud ārif-e-hayāt bhī haibashar jo mahram-e-asrār-e-kā.ināt bhī hai
  28. dil meñ hujūm-e-shauq-o-tamannā abhī se haiānkhoñ meñ ik surūr kī duniyā abhī se hai
  29. mere kamre ke baṛe tāq meñ ik ā.īnasūrateñ sab ko dikhāne ke liye rakhā hai