اہل دل جو بھی بات کہتے ہیں
Kaif Moradaabadi (1907–1976)اہل دل جو بھی بات کہتے ہیں
کوئی راز حیات کہتے ہیں
ان کے غم سے ہے جاوداں ورنہ
زیست کو بے ثبات کہتے ہیں
ہائے وہ دور عشق جب آنسو
داستان حیات کہتے ہیں
خواب غفلت میں جو گزرتا ہے
ہم تو اس دن کو رات کہتے ہیں
عشق کی اصطلاح میں غم کو
انقلاب حیات کہتے ہیں
جو بھی ہیں واقف حقیقت دل
دل کو ہی کائنات کہتے ہیں
لفظ و معنی میں آ نہیں سکتی
وہ نظر سے جو بات کہتے ہیں
مرد حق میں تو ماسوا کو بھی
پرتو حسن ذات کہتے ہیں
مدتوں غور کرنا پڑتا ہے
ان سے جب دل کی بات کہتے ہیں
کار گاہ نقوش عبرت کو
کیفؔ سب کائنات کہتے ہیں
ahl-e-dil jo bhi bat kahte hain
koi raz-e-hayat kahte hain
un ke gham se hai jawedan warna
zist ko be sabat kahte hain
hae wo daur-e-ishq jab ansu
dastan-e-hayat kahte hain
khwab-e-ghaflat mein jo guzarta hai
ham to us din ko rat kahte hain
ishq ki istilah mein gham ko
inqilab-e-hayat kahte hain
jo bhi hain waqif-e-haqiqat dil
dil ko hi kainat kahte hain
lafz-o-maani mein a nahin sakti
wo nazar se jo bat kahte hain
mard-e-haq mein to masiwa ko bhi
partau husn-e-zat kahte hain
muddaton ghaur karna parta hai
un se jab dil ki bat kahte hain
kar gah-e-nuqush-e-ibrat ko
kaif sab kainat kahte hain