چمن والوں سے برق بے اماں کچھ اور کہتی ہے
Kaif Moradaabadi (1907–1976)چمن والوں سے برق بے اماں کچھ اور کہتی ہے
مگر میری تو شاخ آشیاں کچھ اور کہتی ہے
نظر میں اس کی یوں تو سب کی ہی رفتار ہے لیکن
مرے قدموں سے گرد کارواں کچھ اور کہتی ہے
یہاں کا ذرہ ذرہ محشر غم ہے حقیقت میں
بظاہر رونق بزم جہاں کچھ اور کہتی ہے
ہے ان کی ہی نظر آئینۂ دیر و حرم لیکن
یہاں کچھ اور کہتی ہے وہاں کچھ اور کہتی ہے
کسی دن ساتھ چھٹ جانے کا خطرہ ہے اسے شاید
ترے غم سے میری عمر رواں کچھ اور کہتی ہے
یہی تم کو یقیں کیوں ہے کہ کوئی التجا ہوگی
سنو تو میری چشم خونفشاں کچھ اور کہتی ہے
مجھے اپنی صداقت پر بھی شک ہے اس زمانے میں
کہ دل کچھ اور کہتا ہے زباں کچھ اور کہتی ہے
جہاں میں گو نہیں آثار کچھ ایسے قیامت کے
مگر گمراہیٔ اہل جہاں کچھ اور کہتی ہے
کبھی کیفؔ اس کا لوہا مانتے تھے لکھنؤ والے
مگر اب اہل دہلی کی زباں کچھ اور کہتی ہے
chaman walon se barq-e-be aman kuchh aur kahti hai
magar meri to shakh-e-ashiyan kuchh aur kahti hai
nazar mein us ki yun to sab ki hi raftar hai lekin
mire qadmon se gard-e-karwan kuchh aur kahti hai
yahan ka zarra zarra mahshar-e-gham hai haqiqat mein
bazahir raunaq-e-bazm-e-jahan kuchh aur kahti hai
hai un ki hi nazar aina-e-dair-o-haram lekin
yahan kuchh aur kahti hai wahan kuchh aur kahti hai
kisi din sath chhut jane ka khatra hai use shayad
tire gham se meri umr-e-rawan kuchh aur kahti hai
yahi tum ko yaqin kyun hai ke koi iltija hogi
suno to meri chashm-e-khunfishan kuchh aur kahti hai
mujhe apni sadaqat par bhi shak hai is zamane mein
ke dil kuchh aur kahta hai zaban kuchh aur kahti hai
jahan mein go nahin asar kuchh aise qayamat ke
magar gumrahi-e-ahl-e-jahan kuchh aur kahti hai
kabhi kaif us ka loha mante the lakhnau wale
magar ab ahl-e-dehli ki zaban kuchh aur kahti hai