Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kabir Ajmal

1967–2020

Poems

Meter
  1. abhī to faisla bāqī hai shām hone desahar kī oṭ meñ mahtāb jāñ ko rone de
  2. apnī anā se bar sar-e-paikār meñ hī thāsach bolne kī dhun thī sar-e-dār meñ hī thā
  3. ufuq ke āḳhirī manzar meñ jagmagā.ūñ meñhisār-e-zāt se niklūñ to ḳhud ko pā.oñ meñ
  4. ik tasavvur be karāñ thā aur maiñdard kā sail-e-ravāñ thā aur maiñ
  5. bajā.e gul mujhe tohfa diyā babūloñ kāmaiñ munharif to nahīñ thā tire usūloñ kā
  6. bujhtī ragoñ meñ nūr bikhartā huā sā maiñtūfān nang-e-mauj guzartā huā sā maiñ
  7. siyāhī ḍhal ke palkoñ par bhī ā.ekoī lamha dhanak ban kar bhī ā.e
  8. sharār ishq sadiyoñ kā safar kartā huābujhā mujh meñ mujhī ko be ḳhabar kartā huā
  9. kuchh ta.alluq bhī nahīñ rasm-e-jahāñ se āgeus se rishta bhī rahā vahm-o-gumāñ se āge
  10. maiñ jism-o-jāñ ke khel meñ bebāk ho gayākis ne ye chhū diyā hai ke maiñ chāk ho gayā
  11. na.ī zamīn na.e āsmāñ sañvarte raheñyahī hai shart to phir harf harf marte raheñ
  12. vo ḳhvāb talab gār tamāshā bhī nahīñ haikahte haiñ kisī ne use dekhā bhī nahīñ hai
  13. vo mauj huā jo abhī bahne kī nahīñ haiham jānte haiñ āp se kahne kī nahīñ hai
  14. hujūm-e-sayyārgāñ meñ raushan diyā usī kāfasīl-e-shab par bhī gul khilā.e huā usī kā
  15. havā kī zad pe charāġh-e-shab-e-fasāna thāmagar hameñ bhī usī se diyā jalānā thā