وہ خواب طلب گار تماشا بھی نہیں ہے
Kabir Ajmal (1967–2020)وہ خواب طلب گار تماشا بھی نہیں ہے
کہتے ہیں کسی نے اسے دیکھا بھی نہیں ہے
پہلی سی وہ خوشبوئے تمنا بھی نہیں ہے
اس بار کوئی خوف ہوا کا بھی نہیں ہے
اس چاند کی انگڑائی سے روشن ہیں در و بام
جو پردۂ شب رنگ پہ ابھرا بھی نہیں ہے
کہتے ہیں کہ اٹھنے کو ہے اب رسم محبت
اور اس کے سوا کوئی تماشا بھی نہیں ہے
اس شہر کی پہچان تھیں وہ پھول سی آنکھیں
اب یوں ہے کہ ان آنکھوں کا چرچا بھی نہیں ہے
کیوں بام پہ آوازوں کا دھمال ہے اجملؔ
اس گھر پہ تو آسیب کا سایہ بھی نہیں ہے
wo khwab talab gar tamasha bhi nahin hai
kahte hain kisi ne use dekha bhi nahin hai
pahli si wo khushbu-e-tamanna bhi nahin hai
is bar koi khauf hawa ka bhi nahin hai
is chand ki angrai se raushan hain dar-o-bam
jo parda-e-shab rang pe ubhra bhi nahin hai
kahte hain ke uthne ko hai ab rasm-e-mohabbat
aur us ke siwa koi tamasha bhi nahin hai
is shahr ki pahchan thin wo phul si ankhen
ab yun hai ke in ankhon ka charcha bhi nahin hai
kyun bam pe awazon ka dhamal hai ajmal
is ghar pe to aseb ka saya bhi nahin hai