Poet
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
b. 1904
Poems
- جہان علم کو تسلیم ہے وقار تراادب کے پھولوں سے دامن ہے لالہ زار تراjahān-e-ilm ko taslīm hai vaqār tirāadab ke phūloñ se dāman hai lāla zār tirā
- جہاں میں غم بھی ہے روشن تریں ستاروں میںدکھاتا راہ ہے ظلمت کے خارزاروں میںjahāñ meñ ġham bhī hai raushan tireñ sitāroñ meñdikhātā rāh hai zulmat ke ḳhārzāroñ meñ
- چمن میں ناز سے اٹھکھیلیاں کرتی بہار آئیگلوں کا پیرہن پہنے وہ جان انتظار آئیchaman meñ nāz se aṭhkheliyāñ kartī bahār ā.īguloñ kā pairahan pahne vo jān-e-intizār ā.ī
- دل کے بجھے چراغ جلاتی چلی گئیقدموں سے سوئے فتنے جگاتی چلی گئیdil ke bujhe charāġh jalātī chalī ga.īqadmoñ se sū-e-fitne jagātī chalī ga.ī
- زندگی بہتی رہی آب رواں کی مانندکبھی ہلکی سی کبھی خواب گراں کی مانندzindagī bahtī rahī āb-e-ravāñ kī mānindkabhī halkī sī kabhī ḳhvāb-e-girāñ kī mānind
- شاعر ہندوستاں اے شاعر جادو بیاںہند کے خم خانۂ عرفاں کے اے پیر مغاںshāyar-e-hindostāñ ai shāyar-e-jādū bayāñhind ke ḳham ḳhāna-e-irfāñ ke ai pīr-e-muġhāñ
- شہر مشہور زمانہ دیکھنے آیا ہوں میںراجدھانی تیری رعنا دیکھنے آیا ہوں میںshahr mashhūr-e-zamāna dekhne āyā hūñ maiñrājdhānī terī ra.anā dekhne āyā hūñ maiñ
- کاش نور سحر کی کوئی کرنزلف سے کرتی مجھ کو ہم آغوشkāsh nūr-e-sahar kī koī kiranzulf se kartī mujh ko ham āġhosh
- کہاں گیا وہ زمانہ کہ جس کی یاد میں آجبھلائے بیٹھا ہوں خود کو پتا نہیں ملتاkahāñ gayā vo zamāna ke jis kī yād meñ ājbhulā.e baiṭhā hūñ ḳhud ko patā nahīñ miltā
- کیا نغمہ ہائے کیف کا دریا بہا گیاخود حسن کو جہاں میں حسیں تر بنا گیاkyā naġhma hā-e-kaif kā dariyā bahā gayāḳhud husn ko jahāñ meñ hasīñ tar banā gayā
- میری سوئی ہوئی قسمت کو جگانے آ جاآ جا آ جا مری بگڑی کو بنانے آ جاmerī soī huī qismat ko jagāne ā jāā jā ā jā mirī bigṛī ko banāne ā jā
- یوں آئے ہیں گھر گھر کے یہ دکھ درد کے بادلتاریک فضاؤں میں گھلا جیسے ہو کاجلyūñ ā.e haiñ ghar ghar ke ye dukh dard ke bādaltārīk fazā.oñ meñ ghulā jaise ho kājal
- اپنا یہ چراغ دل مدھم ہی سہی لیکندنیا کے اندھیروں سے تنہا ہی یہ لڑتا ہےapnā ye charāġh-e-dil maddham hī sahī lekinduniyā ke andheroñ se tanhā hī ye laṛtā hai
- اس درجہ کبھی جاذب یہ دنیا نہ تھی پہلےیہ کس کے تصور میں تصویر نظر آئیis darja kabhī jāzib ye duniyā na thī pahleye kis ke tasavvur meñ tasvīr nazar ā.ī
- اس سینۂ ویراں میں کھلائے نہ کبھی پھولکیوں باغ پہ اتراتی رہی باد صبا ہےis sīna-e-vīrāñ meñ khilā.e na kabhī phūlkyūñ bāġh pe itrātī rahī bād-e-sabā hai
- اس طرح بے کیف گزرا اے حبیبؔ اپنا شبابجس طرح سے سونے گھر میں جلتا ہے کوئی چراغis tarah be kaif guzrā ai habīb apnā shabābjis tarah se sone ghar meñ jaltā hai koī charāġh
- اس عالم فانی میں سدا کون رہا ہےاک نام ہے اللہ کا اک نقش وفا ہےis ālam-e-fānī meñ sadā kaun rahā haiik nām hai allāh kā ik naqsh-e-vafā hai
- اس قدر وعدے کا انداز حسیں ہوتا ہےکہ ترے جھوٹ پہ بھی سچ کا یقیں ہوتا ہےis qadar va.ade kā andāz hasīñ hotā haike tire jhūṭ pe bhī sach kā yaqīñ hotā hai
- انداز مقدر کے ہیں گیسوئے جاناں سےجو گاہ الجھتے ہیں اور گاہ سنورتے ہیںandāz-e-muqaddar ke haiñ gesū-e-jānāñ sejo gāh ulajhte haiñ aur gāh sañvarte haiñ
- انساں کے درد و غم کا کہیں ذکر ہی نہیںہے بات شیخ کی تو کبھی برہمن کی باتinsāñ ke dard-o-ġham kā kahīñ zikr hī nahīñhai bāt shaiḳh kī to kabhī barahman kī bāt
- انساں کے دل کی خیر زمیں آسماں کی خیرہر روز گل کھلاتے ہیں انساں نئے نئےinsāñ ke dil kī ḳhair zamīñ āsmāñ kī ḳhairhar roz gul khilāte haiñ insāñ na.e na.e
- ان سے ہنستے ہی ہنستے محبت سی شےہونے والی کہیں تھی مگر ہو گئیun se hañste hī hañste mohabbat sī shaihone vālī kahīñ thī magar ho ga.ī
- ان کے ہونٹوں پر آیا تبسم ادھرنبض عالم ادھر تیز تر ہو گئیun ke honṭoñ par āyā tabassum idharnabz-e-ālam idhar tez tar ho ga.ī
- بچھڑے مجھ سے اس طرح وہ زندگی کے ہم سفربجھ گئے ہوں جلتے جلتے جیسے رستے کے چراغbichhṛe mujh se is tarah vo zindagī ke ham safarbujh ga.e hūñ jalte jalte jaise raste ke charāġh
- بھیس میں مسرت کے غم کہیں نہ آیا ہواس سبب سے ڈر ڈر کر ہم خوشی سے ملتے ہیںbhes meñ masarrat ke ġham kahīñ na āyā hois sabab se ḍar ḍar kar ham ḳhushī se milte haiñ
- بیداد مقدر سے دل میرا الجھتا ہےجب آپ نظر مجھ پر کچھ لطف سے کرتے ہیںbedād muqaddar se dil merā ulajhtā haijab āp nazar mujh par kuchh lutf se karte haiñ
- پا کے اک تیرا تبسم مسکرائی کائناتجھوم اٹھا وہ بھی دل جینے سے جو بیزار تھاpā ke ik terā tabassum muskurā.ī kā.inātjhūm uṭhā vo bhī dil jīne se jo bezār thā
- تیری یادوں کا ہی سرمایا لئے بیٹھے ہیںہم کبھی بے سر و سامان نہ ہونے پائےterī yādoñ kā hī sarmāyā liye baiṭhe haiñham kabhī be sar-o-sāmān na hone pā.e
- ٹوٹ جاتے ہیں جو دنیا کے سہارے سارےپردۂ غیب سے ہوتا ہے سہارا پیداṭūṭ jāte haiñ jo duniyā ke sahāre sāreparda-e-ġhaib se hotā hai sahārā paidā
- جب تھکے ہاتھوں سے پتوار بھی گر جاتے ہیںعین گرداب میں ہوتا ہے کنارہ پیداjab thake hāthoñ se patvār bhī gir jāte haiñain girdāb meñ hotā hai kināra paidā
- جس پہ اک بار جلے ہیں ترے قدموں کے چراغراستے وہ کبھی سنسان نہ ہونے پائےjis pe ik bār jale haiñ tire qadmoñ ke charāġhrāste vo kabhī sunsān na hone pā.e
- جگر کے داغ دکھانے سے فائدہ کیا ہےابھی زمانے کے حالات سازگار نہیںjigar ke dāġh dikhāne se fā.ida kyā haiabhī zamāne ke hālāt sāzgār nahīñ
- جنوں ہی ساتھ رہے زندگی میں میرے حبیبؔسفر میں اور کوئی ہم سفر ملے نہ ملےjunūñ hī sāth rahe zindagī meñ mere habībsafar meñ aur koī ham safar mile na mile
- جہاں حسیں ہے محبت کی دل نوازی سےمگر یہ راز کوئی خال خال ہی جانےjahāñ hasīñ hai mohabbat kī dil navāzī semagar ye rāz koī ḳhāl ḳhāl hī jāne
- جہاں کہیں بھی کوئی دل فگار ہوتا ہےوہیں پہ سایۂ پروردگار ہوتا ہےjahāñ kahīñ bhī koī dil figār hotā haivahīñ pe sāya-e-parvardigār hotā hai
- چھوڑ آتے ہیں ہر جانب کچھ نقش وفا اپنےہم زیست کی راہوں سے جس وقت گزرتے ہیںchhoṛ āte haiñ har jānib kuchh naqsh-e-vafā apneham zīst kī rāhoñ se jis vaqt guzarte haiñ
- حال دل پر ہنسا کبھی رویایوں مری عمر بے ثبات گئیhāl-e-dil par hañsā kabhī royāyūñ mirī umr be sabāt ga.ī
- حال دل کہتے ہی آ جاتی ہے جب یاد ان کیہم کہیں ہوتے ہیں افسانہ کہیں ہوتا ہےhāl-e-dil kahte hī ā jātī hai jab yād un kīham kahīñ hote haiñ afsāna kahīñ hotā hai
- حبیبؔ خود ہی بنائیں گے روز و شب اپنےہوا ہی کیا جو زمانے نے ساتھ چھوڑ دیاhabīb ḳhud hī banā.eñge roz-o-shab apnehavā hī kyā jo zamāne ne sāth chhoṛ diyā
- خیال یار کے روشن دیے کرو ورنہاندھیری رات میں منزل کا اعتبار نہیںḳhayāl-e-yār ke raushan diye karo varnaandherī rāt meñ manzil kā etibār nahīñ
- دل ٹوٹ کے ہی آخر بنتا ہے کسی قابلتخریب کے پردے میں تعمیر نظر آئیdil ṭūṭ ke hī āḳhir bantā hai kisī qābiltaḳhrīb ke parde meñ ta.amīr nazar ā.ī
- دل کشی تیرے تصور کی رہی روز افزوںباہمی ربط کا ہر چند وہ نقشہ نہ رہاdil kashī tere tasavvur kī rahī roz afzūñbāhamī rabt kā har chand vo naqsha na rahā
- دونوں ہاتھوں سے مسرت کو لٹایا ہے حبیبؔغم کی دولت تو مگر تم سے لٹائی نہ گئیdonoñ hāthoñ se masarrat ko luṭāyā hai habībġham kī daulat to magar tum se luṭā.ī na ga.ī
- سہہ لوں گا اے حبیبؔ ستم ہائے روزگارحاصل اگر ہو دوست کی پیاری نظر مجھےsah lūñgā ai habīb sitam hā.e rozgārhāsil agar ho dost kī pyārī nazar mujhe
- شب غم کا حبیبؔ شکوہ کیوںدیکھ وہ پو پھٹی وہ رات آئیshab-e-ġham kā habīb shikva kyūñdekh vo pau phaṭī vo rāt ā.ī
- عقل انساں نے بٹھا رکھے ہیں پہرے دل پردل کی کیا بات کہے گا جو نہ دیوانہ بنےaql insāñ ne biṭhā rakhe haiñ pahre dil pardil kī kyā bāt kahegā jo na dīvāna bane
- عمر اپنی تو اسی طور سے گزری ہے حبیبؔرہا طوفاں ہی نگاہوں میں کنارہ نہ رہاumr apnī to isī taur se guzrī hai habībrahā tūfāñ hī nigāhoñ meñ kināra na rahā
- کسی کے جلوؤں سے معمور ہے جہاں اپنانہیں یہ فکر کہ دنیا نے ساتھ چھوڑ دیاkisī ke jalvoñ se ma.amūr hai jahāñ apnānahīñ ye fikr ke duniyā ne sāth chhoṛ diyā
- گل ہی کبھی تو منتخب روزگار تھاخاروں پہ اب تو آیا ہے موسم بہار کاgul hī kabhī to muntaḳhab rozgār thāḳhāroñ pe ab to āyā hai mausam-e-bahār kā
- مانوس اس قدر ہوں میں لذت سے درد کیدل ہے کہ ڈھونڈ لیتا ہے پیکاں نئے نئےmānūs is qadar hūñ maiñ lazzat se dard kīdil hai ke ḍhūñḍ letā hai paikāñ na.e na.e