Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Imdad Ali Bahr

امداد علی بحر

1810–1878

Poems

Meter
  1. mahram ke sitāre ṭūṭṭe haiñpistān ke anār chhūṭṭe haiñ
  2. mar ga.e par bhī na ho bojh kisī par apnārūh ke sāth huā ho tan-e-lāġhar apnā
  3. maiñ us but kā vasl ai ḳhudā chāhtā hūñmaraz ishq kā hai davā chāhtā hūñ
  4. maiñ siyah rū apne ḳhāliq se jo nemat māñgtāapnā muñh dhone ko pahle āb ḳhajlat māñgtā
  5. maiñ gilā tum se karūñ ai yār kis kis bāt kāye kahānī din kī ho jā.e na qissa rāt kā
  6. nafas-e-sarkash ko qatl kar ai dilmusta.id ho jihād par ai dil
  7. na kah haq meñ buzurgoñ kī kaṛī bātkaheñge log chhoṭā muñh baṛī bāt
  8. nahīñ hone kā ye ḳhūn-e-jigar bandna bāñdhī āstīn ānkhoñ pe tar band
  9. vasl meñ zikr-e-ġhair kā na karoḳhush kyā hai to phir ḳhafā na karo
  10. vafā meñ barābar jise tol leñgeuse saltanat bech kar mol leñge
  11. vaqt āḳhir hameñ dīdār dikhāyā na gayāham to duniyā se ga.e āp se āyā na gayā
  12. vo rashk-e-mehr-o-qamar ghāt par nahīñ ātākabhī andhere ujāle nazar nahīñ ātā
  13. har taraf majma.a āshiqāñ haitere dam kā ye sārā samāñ hai
  14. ham āj kal haiñ nāma navīsī kī tā.o pardin bhar kabūtroñ ko bhagāte haiñ bā.o par
  15. ham ḳhizāñ kī agar ḳhabar rakhteāshiyāne meñ phūl bhar rakhte
  16. ham zād hai ġham apnā shādāñ kise kahte haiñvāqif nahīñ ishrat kā sāmāñ kise kahte haiñ
  17. ham nāqisoñ ke daur meñ kāmil hue to kyāujṛe hue ilāqe ke āmil hue to kyā
  18. hameñ nāshād nazar āte haiñ dil shād haiñ sabhameñ is daur meñ barbād haiñ ābād haiñ sabab
  19. ye dil hai to āfat meñ paṛte raheñgeyūñ hī eṛiyāñ ham ragaṛte raheñge
  20. ābla ḳhār-e-sar-e-mizhgāñ ne phoṛā sānp kāsīlī-e-zulf-e-rasā ne kalā toṛā sānp
  21. ārāstagī baṛī jalā haipatthar kī baġhal meñ ā.īna hai
  22. bad tāli.ī kā ilāj kyā hoāzār bhī ho to lā davā ho
  23. bashar roz-e-azal se shefta hai shān-o-shaukat kāanāsir ke muraqqa.a meñ bharā hai naqsh daulat kā
  24. jazb-e-ulfat ne dikhāyā asar apnā ulṭāāh jab honṭhoñ par ā.ī to kaleja ulṭā
  25. ḳhurshīd ruḳhoñ kā sāmnā haishabnam sifat ābrū huā hai
  26. dikhātī hai dil phir mohabbat kisī kīke ānkhoñ meñ phirtī hai sūrat kisī kī
  27. dopaṭṭā vo gulnār dikhlā ga.ena.e sar se phir āg bhaṛkā ga.e
  28. shikva na raqīboñ se na jānāñ se gilā haimujh ko faqat apnī dil-e-nādāñ se gilā hai
  29. qadardāñ koī na asfal hai na a.alā apnāna zamīn par na falak par hai ṭhikānā apnā
  30. gayā javānī kā sāth sab kuchh vo garmī-e-ishq ab kahāñ haijo maiñ ne is vaqt āh kī hai bujhī huī āg kā dhuāñ hai
  31. mere āge tazkira ma.ashūq-o-āshiq kā burāaglī bāteñ mujh ko yād ātī haiñ ye charchā burā
  32. ye kyā kahā mujhe o bad zabāñ bahut achchhāsunā lī aur bhī do gāliyāñ bahut achchhā