Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Iftikhar Haidar

b. 1975

Poems

Meter
  1. ārzūeñ na chhīn ḳhvāb na chhīnmerā sāmān-e-iztirāb na chhīn
  2. is vāste logoñ ko sunā.ī nahīñ deteham āh to bharte haiñ duhā.ī nahīñ dete
  3. agar sunānī hai har qadam par na.ī kahānī to hār mānīfareb khāte hue guzarnī hai zindagānī to hār mānī
  4. an dekhī aur bhūlī bhālī duniyā haiis khiṛkī ke pār anokhī duniyā hai
  5. baṛhā.o hāth baṛhā.o faqīr mauj meñ haitavangaro idhar ā.o faqīr mauj meñ hai
  6. tevar bhed batāte haiñ ye nam ālūd havā.oñ keāj zarā khul khelne vāle haiñ andāz ghaṭā.oñ ke
  7. jab ek shaḳhs apnā ṭhikāna badal gayāphir us ke sāth sārā zamāna badal gayā
  8. zaḳhm dikhāne lag jātī hai jān ko āne lag jātī hairāt ga.e tanhā.ī jis dam shor machāne lag jātī hai
  9. fuzūl nāz uṭhāne se bāt bigṛī haikisī ko dil meñ basāne se bāt bigṛī hai
  10. faiz ahd-e-jadīd-e-tanhā.īsah rahā hūñ shadīd tanhā.ī
  11. qarār hote hue be qarār ya.anī maiñtumhāre hijr kā ik sogvār ya.anī maiñ
  12. koī un honā vāqi.a nahīñ haiishq mere liye nayā nahīñ hai
  13. guzishta shab jo itnī raushnī thītumhārī yād kī jalva girī thī
  14. vahshat firāq ḳhauf tirā dhyān alamānkitnī balā.eñ haiñ mirī mehmān-e-alamān
  15. vahshat hai be zārī haishām bhī kitnī bhārī hai
  16. vaise to insān ḳhudā kā ḳhās ḳhalīfa bantā hailekin jo hālāt haiñ us ke un par ronā bantā hai
  17. apne lahje pe ġhaur kar ke batālafz kitne haiñ tīr kitne haiñ
  18. ummīdeñ bāñdh rakhī haiñ tire lutf-o-karam sesiyah a.amāl hūñ to goshvāra kaun dekhe
  19. aisoñ vaisoñ ke qasīde nahīñ likhe jātesher likh letā hūñ sehre nahīñ likhe jāte
  20. bijlī ga.ī to vo bhī hamāre makān kībijlī girī to vo bhī hamāre makān par
  21. be ḳhatā hai to phir bhī ḍar ai dostbe ḳhatā hī na dhar liyā jā.e
  22. tab mirī ās ṭūṭ jātī haijab mirī ās log hote haiñ
  23. tere qadmoñ meñ ā ke girnā haijis bulandī pe bhī uchhāl mujhe
  24. jitnī fursat hai zindagī meñ nasībitnī fursat meñ maiñ se to ho jā
  25. sāns tāza havā ke chakkar meñsārā gard-o-ġhubār khīñchtī hai
  26. sau tarah ke vabāl haiñ lekinphir bhī zinda haiñ ān bān ke sāth
  27. sīṭī kī āvāz sunī aur sārā māzī lauṭ āyāpas manzar meñ rel nahīñ hai pūrā ek afsāna hai
  28. shām hote hī tere hijr kā dukhdil meñ ḳhema lagā ke baiṭh gayā
  29. shahr meñ thī nāsāz tabī.at beṭe kīgā.oñ meñ baiṭhī māñ ne khānā chhoṛ diyā
  30. ajīb dard sā is lamha-e-visāl meñ thāke zaḳhm se bhī baṛā karb-e-indimāl meñ thā
  31. mīr ke kuchh ash.ār milā kar rāshid kī kuchh nazmoñ meñvahshat kī āmezish kar ke ik uslūb banānā hai
  32. ham zamāna shanās the phir bhīdāstāñ go pe etibār kiyā