Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Iftikhar Haidar

b. 1975

Poems

Meter
  1. apne lahje pe ġhaur kar ke batālafz kitne haiñ tīr kitne haiñ
  2. ummīdeñ bāñdh rakhī haiñ tire lutf-o-karam sesiyah a.amāl hūñ to goshvāra kaun dekhe
  3. aisoñ vaisoñ ke qasīde nahīñ likhe jātesher likh letā hūñ sehre nahīñ likhe jāte
  4. bijlī ga.ī to vo bhī hamāre makān kībijlī girī to vo bhī hamāre makān par
  5. be ḳhatā hai to phir bhī ḍar ai dostbe ḳhatā hī na dhar liyā jā.e
  6. tab mirī ās ṭūṭ jātī haijab mirī ās log hote haiñ
  7. tere qadmoñ meñ ā ke girnā haijis bulandī pe bhī uchhāl mujhe
  8. jitnī fursat hai zindagī meñ nasībitnī fursat meñ maiñ se to ho jā
  9. sāns tāza havā ke chakkar meñsārā gard-o-ġhubār khīñchtī hai
  10. sau tarah ke vabāl haiñ lekinphir bhī zinda haiñ ān bān ke sāth
  11. sīṭī kī āvāz sunī aur sārā māzī lauṭ āyāpas manzar meñ rel nahīñ hai pūrā ek afsāna hai
  12. shām hote hī tere hijr kā dukhdil meñ ḳhema lagā ke baiṭh gayā
  13. shahr meñ thī nāsāz tabī.at beṭe kīgā.oñ meñ baiṭhī māñ ne khānā chhoṛ diyā
  14. ajīb dard sā is lamha-e-visāl meñ thāke zaḳhm se bhī baṛā karb-e-indimāl meñ thā
  15. mīr ke kuchh ash.ār milā kar rāshid kī kuchh nazmoñ meñvahshat kī āmezish kar ke ik uslūb banānā hai
  16. ham zamāna shanās the phir bhīdāstāñ go pe etibār kiyā