Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ghayas Mateen

b. 1939

Poems

  1. ānkh kī putlī meñ sūraj sar meñ kuchh saudā ugāpāniyoñ meñ surḳh paude dhūp meñ sāyā ugā
  2. is taraf āg kā dariyā hai idhar khā.ī haiham ne bhī pār utarne kī qasam khā.ī hai
  3. bārish hogī to bārish meñ donoñ mil kar bhīgeñgeret pe ek musāfir kā ghar aur samundar bhīgeñge
  4. pāgal sī huā ḍhaltī huī shām samundaraise hī kahīñ le na tirā nām samundar
  5. tumhārā rang rang-e-āsmāñ jaisā badaltā haikisī ko chāhne vālā kahīñ itnā badaltā hai
  6. jazīre hūñ ke vo sahrā hūñ ḳhvāb honā haisamundaroñ ko kisī din sarāb honā hai
  7. ḳhvāb ānkhoñ kī galī chhoṛ ke jāne nikleham idhar nīnd kī dīvār girāne nikle
  8. dil jalā phir charāġh jalte hīapne dukh bhī haiñ shām jaise hī
  9. dhūp kā ehsās jāne kyūñ use hotā nahīñvaqt āvāra hai ṭhanḍī chhā.oñ meñ hotā nahīñ
  10. zamīñ ke sāth falak ke safar meñ ham bhī haiñqafas nasīb sahī bāl-o-par maiñ ham bhī haiñ
  11. sūraj ko kyā pata hai kidhar dhūp chāhiyeāngan baṛā hai apne bhī ghar dhūp chāhiye
  12. shām kā rang jo gahrā huā ā.īne meñik sitāra sā chamakne lagā ā.īne meñ
  13. lahje ko phūl lafz ko jugnū agar kareñvaqt-e-ravāñ ke sāth ma.ānī safar kareñ
  14. nasība jāg uṭhā aur muqaddar ban gayā apnājahāñ dīvār hai us kī vahīñ ghar ban gayā apnā
  15. vo chingāriyoñ ko huā de gayāsamundar thā lekin ye kyā de gayā
  16. havā bahut tez chal rahī hai charāġh-e-jāñ phir bhī jal rahā haiye kaun hai jo hamāre pīchhe havā ke ham rāh chal rahā hai