دھوپ کا احساس جانے کیوں اسے ہوتا نہیں
Ghayas Mateen (b. 1939)دھوپ کا احساس جانے کیوں اسے ہوتا نہیں
وقت آوارہ ہے ٹھنڈی چھاؤں میں ہوتا نہیں
جھوٹ کی دیوار سے لٹکے ہوئے جسموں کے دن
ہو گئے پورے کہ سچ تو شب میں بھی سوتا نہیں
ہم تکا کرتے ہیں کھڑکی سے اترتے چاند کو
دوڑ کر اس کو پکڑ لیں یہ کبھی ہوتا نہیں
دل عجب پتھر ہے پانی سے پگھل جائے کہیں
اور کبھی جو آگ میں رکھ دیجئے روتا نہیں
روشنی پھوٹے قلم کے آنکھ سے کیوں کر متینؔ
آنسوؤں کے بیج دل میں جب کوئی بوتا نہیں
dhup ka ehsas jane kyun use hota nahin
waqt awara hai thandi chhaon mein hota nahin
jhut ki diwar se latke hue jismon ke din
ho gae pure ke sach to shab mein bhi sota nahin
ham taka karte hain khirki se utarte chand ko
daur kar us ko pakar len ye kabhi hota nahin
dil ajab patthar hai pani se pighal jae kahin
aur kabhi jo ag mein rakh dijiye rota nahin
raushni phute qalam ke ankh se kyun kar matin
ansuon ke bij dil mein jab koi bota nahin