Poet
Firaq Gorakhpuri
فراق گورکھپوری1896–1982Born in BanwarparDied in New Delhi
Raghupati Sahay wrote under the pen name Firaq Gorakhpuri. Selected for the civil service, he resigned to join Gandhi's non-cooperation movement and was jailed, and later taught English literature at Allahabad University. He wrote ghazals, nazms, rubais and criticism; his books include Gul-e-Naghma, Rooh-e-Kainat and Roop. Gul-e-Naghma won the Sahitya Akademi Award in 1960 and, in 1969, the first Jnanpith Award given for Urdu.
Writes about
- Love
- Beauty
- Sorrow
Poems
- کوئی پیغام محبت لب اعجاز تو دےموت کی آنکھ بھی کھل جائے گی آواز تو دےkoī paiġhām-e-mohabbat lab-e-ejāz to demaut kī ānkh bhī khul jā.egī āvāz to de
- لطف ساماں عتاب یار بھی ہےمحرم عشق شرمسار بھی ہےlutf sāmāñ itāb yār bhī haimahram-e-ishq sharmsār bhī hai
- مجھ کو مارا ہے ہر اک درد و دوا سے پہلےدی سزا عشق نے ہر جرم و خطا سے پہلےmujh ko mārā hai har ik dard-o-davā se pahledī sazā ishq ne har jurm-o-ḳhatā se pahle
- موت اک گیت رات گاتی تھیزندگی جھوم جھوم جاتی تھیmaut ik gīt rāt gātī thīzindagī jhūm jhūm jātī thī
- میکدے میں آج اک دنیا کو اذن عام تھادور جام بے خودی بیگانۂ ایام تھاmaikade meñ āj ik duniyā ko izn-e-ām thādaur-e-jām-e-be ḳhudī begāna-e-ayyām thā
- نرم فضا کی کروٹیں دل کو دکھا کے رہ گئیںٹھنڈی ہوائیں بھی تری یاد دلا کے رہ گئیںnarm fazā kī karvaṭeñ dil ko dikhā ke rah ga.īñṭhanḍī havā.eñ bhī tirī yād dilā ke rah ga.īñ
- نگاہ ناز نے پردے اٹھائے ہیں کیا کیاحجاب اہل محبت کو آئے ہیں کیا کیاnigāh-e-nāz ne parde uṭhā.e haiñ kyā kiyāhijāb ahl-e-mohabbat ko ā.e haiñ kyā kiyā
- وقت غروب آج کرامات ہو گئیزلفوں کو اس نے کھول دیا رات ہو گئیvaqt-e-ġhurūb āj karāmāt ho ga.īzulfoñ ko us ne khol diyā rāt ho ga.ī
- وہ چپ چاپ آنسو بہانے کی راتیںوہ اک شخص کے یاد آنے کی راتیںvo chup chāp ānsū bahāne kī rāteñvo ik shaḳhs ke yād āne kī rāteñ
- ہاتھ آئے تو وہی دامن جاناں ہو جائےچھوٹ جائے تو وہی اپنا گریباں ہو جائےhāth ā.e to vahī dāman jānāñ ho jā.echhūṭ jā.e to vahī apnā garebāñ ho jā.e
- ہجر و وصال یار کا پردہ اٹھا دیاخود بڑھ کے عشق نے مجھے میرا پتا دیاhijr-o-visāl-e-yār kā parda uṭhā diyāḳhud baṛh ke ishq ne mujhe merā patā diyā
- ہر عقدۂ تقدیر جہاں کھول رہی ہےہاں دھیان سے سننا یہ صدی بول رہی ہےhar uqda-e-taqdīr-e-jahāñ khol rahī haihāñ dhyān se sunnā ye sadī bol rahī hai
- ہر نالہ ترے درد سے اب اور ہی کچھ ہےہر نغمہ سر بزم طرب اور ہی کچھ ہےhar nāla tire dard se ab aur hī kuchh haihar naġhma sar-e-bazm-e-tarab aur hī kuchh hai
- ہو کے سر تا بہ قدم عالم اسرار چلاجو چلا مے کدۂ عشق سے سرشار چلاho ke sar tā ba qadam ālam-e-asrār chalājo chalā mai kada-e-ishq se sarshār chalā
- ہے ابھی مہتاب باقی اور باقی ہے شراباور باقی میرے تیرے درمیاں صدہا حسابhai abhī mahtāb bāqī aur bāqī hai sharābaur bāqī mere tere darmiyāñ sad.hā hisāb
- یہ تو نہیں کہ غم نہیںہاں مری آنکھ نم نہیںye to nahīñ ke ġham nahīñhāñ mirī ānkh nam nahīñ
- یہ سرمئی فضاؤں کی کنمناہٹیںملتی ہیں مجھ کو پچھلے پہر تیری آہٹیںye surma.ī fazā.oñ kī kanmanāhṭeñmiltī haiñ mujh ko pichhle pahar terī āhaṭeñ
- یہ موت و عدم کون و مکاں اور ہی کچھ ہےسن لے کہ مرا نام و نشاں اور ہی کچھ ہےye maut-o-adam kaun-o-makāñ aur hī kuchh haisun le ke mirā nām-o-nishāñ aur hī kuchh hai
- یہ نرم نرم ہوا جھلملا رہے ہیں چراغترے خیال کی خوشبو سے بس رہے ہیں دماغye narm narm huā jhilmilā rahe haiñ charāġhtire ḳhayāl kī ḳhushbū se bas rahe haiñ dimāġh
- یہ نکہتوں کی نرم روی یہ ہوا یہ راتیاد آ رہے ہیں عشق کو ٹوٹے تعلقاتye nik.hatoñ kī narm ravī ye huā ye rātyād ā rahe haiñ ishq ko ṭūṭe ta.alluqāt
- دنیا کو انقلاب کی یاد آ رہی ہے آجتاریخ اپنے آپ کو دہرا رہی ہے آجduniyā ko inqilāb kī yād ā rahī hai ājtārīḳh apne āp ko dohrā rahī hai āj
- دیار ہند تھا گہوارہ یاد ہے ہم دمبہت زمانہ ہوا کس کے کس کے بچپن کاdayār-e-hind thā gahvāra yād hai ham dambahut zamāna huā kis ke kis ke bachpan kā
- سیاہ پیڑ ہیں اب آپ اپنی پرچھائیںزمیں سے تا مہ و انجم سکوت کے مینارsiyāh peṛ haiñ ab āp apnī parchhā.īñzamīñ se tā mah-o-anjum sukūt ke mīnār
- شجر حجر پہ ہیں غم کی گھٹائیں چھائی ہوئیسبک خرام ہواؤں کو نیند آئی ہوئیshajar hajar pe haiñ ġham kī ghaṭā.eñ chhā.ī huīsubuk ḳhirām havā.oñ ko nīnd ā.ī huī
- مری صدا ہے گل شمع شام آزادیسنا رہا ہوں دلوں کو پیام آزادیmirī sadā hai gul-e-sham.a shām-e-āzādīsunā rahā hūñ diloñ ko payām-e-āzādī
- یہ شام اک آئینۂ نیلگوں یہ نم یہ مہکیہ منظروں کی جھلک کھیت باغ دریا گاؤںye shām ik ā.īna-e-nīlgūñ ye nam ye mahakye manzaroñ kī jhalak khet bāġh dariyā gā.oñ
- یہ کون مسکراہٹوں کا کارواں لئے ہوئےشباب شعر و رنگ و نور کا دھواں لئے ہوئےye kaun muskurāhaṭoñ kā kārvāñ liye hueshabāb-e-sher-o-rang-o-nūr kā dhuāñ liye hue
- یہ مست مست گھٹا، یہ بھری بھری برساتتمام حد نظر تک گھلاوٹوں کا سماںye mast mast ghaṭā, ye bharī bharī barsāttamām had-e-nazar tak ghulāvaṭoñ kā samāñ
- آج بہت اداس ہوںیوں کوئی خاص غم نہیںāj bahut udās hūñyūñ koī ḳhās ġham nahīñ
- آنے والی نسلیں تم پر فخر کریں گی ہم عصروجب بھی ان کو دھیان آئے گا تم نے فراقؔ کو دیکھا ہےāne vālī nasleñ tum par faḳhr kareñgī ham asrojab bhī un ko dhyān ā.egā tum ne firāq ko dekhā hai
- آئے تھے ہنستے کھیلتے مے خانے میں فراقؔجب پی چکے شراب تو سنجیدہ ہو گئےā.e the hañste khelte mai ḳhāne meñ firāqjab pī chuke sharāb to sanjīda ho ga.e
- اب تو ان کی یاد بھی آتی نہیںکتنی تنہا ہو گئیں تنہائیاںab to un kī yād bhī ātī nahīñkitnī tanhā ho ga.īñ tanhā.iyāñ
- اب یاد رفتگاں کی بھی ہمت نہیں رہییاروں نے کتنی دور بسائی ہیں بستیاںab yād raftagāñ kī bhī himmat nahīñ rahīyāroñ ne kitnī dūr basā.ī haiñ bastiyāñ
- اسی کھنڈر میں کہیں کچھ دیے ہیں ٹوٹے ہوئےانہیں سے کام چلاؤ بڑی اداس ہے راتisī khanḍar meñ kahīñ kuchh diye haiñ ṭūṭe hueunheñ se kām chillā.o baṛī udās hai rāt
- اہل زنداں کا یہ مجمع ہے ثبوت اس کا فراقؔکہ بکھر کر بھی یہ شیرازہ پریشاں نہ ہواچپکے چپکے رات دن آنسو بہانا یاد ہےahl-e-zindāñ kā ye majma.a hai subūt us kā firāqke bikhar kar bhī ye shīrāza pareshāñ na havāchupke chupke rāt din ānsū bahānā yād hai
- بہت دنوں میں محبت کو یہ ہوا معلومجو تیرے ہجر میں گزری وہ رات رات ہوئیbahut dinoñ meñ mohabbat ko ye huā ma.alūmjo tere hijr meñ guzrī vo rāt rāt huī
- پال لے اک روگ ناداں زندگی کے واسطےصرف صحت کے سہارے عمر تو کٹتی نہیںpāl le ik rog nādāñ zindagī ke vāstesirf sehhat ke sahāre umr to kaṭṭī nahīñ
- پردۂ لطف میں یہ ظلم و ستم کیا کہیےہائے ظالم ترا انداز کرم کیا کہیےparda-e-lutf meñ ye zulm-o-sitam kyā kahiyehā.e zālim tirā andāz-e-karam kyā kahiye
- تجھ کو پا کر بھی نہ کم ہو سکی بے تابئ دلاتنا آسان ترے عشق کا غم تھا ہی نہیںtujh ko pā kar bhī na kam ho sakī be tābī-e-dilitnā āsān tire ishq kā ġham thā hī nahīñ
- تم اسے شکوہ سمجھ کر کس لیے شرما گئےمدتوں کے بعد دیکھا تھا تو آنسو آ گئےtum use shikva samajh kar kis liye sharmā ga.emuddatoñ ke ba.ad dekhā thā to ānsū ā ga.e
- تم مخاطب بھی ہو قریب بھی ہوتم کو دیکھیں کہ تم سے بات کریںtum muḳhātib bhī ho qarīb bhī hotum ko dekheñ ke tum se bāt kareñ
- تیرے آنے کی کیا امید مگرکیسے کہہ دوں کہ انتظار نہیںtere āne kī kyā umīd magarkaise kah dūñ ke intizār nahīñ
- جس میں ہو یاد بھی تری شاملہائے اس بے خودی کو کیا کہیےjis meñ ho yād bhī tirī shāmilhā.e us be ḳhudī ko kyā kahiye
- دیکھ رفتار انقلاب فراقؔکتنی آہستہ اور کتنی تیزdekh raftār inqilāb firāqkitnī āhista aur kitnī tez
- رونے کو تو زندگی پڑی ہےکچھ تیرے ستم پہ مسکرا لیںrone ko to zindagī paṛī haikuchh tere sitam pe muskurā leñ
- زندگی کیا ہے آج اسے اے دوستسوچ لیں اور اداس ہو جائیںzindagī kyā hai āj use ai dostsoch leñ aur udās ho jā.eñ
- سانس لیتی ہے وہ زمین فراقؔجس پہ وہ ناز سے گزرتے ہیںsāns letī hai vo zamīn firāqjis pe vo nāz se guzarte haiñ
- سنتے ہیں عشق نام کے گزرے ہیں اک بزرگہم لوگ بھی فقیر اسی سلسلے کے ہیںsunte haiñ ishq nām ke guzre haiñ ik buzurgham log bhī faqīr isī silsile ke haiñ
- کم سے کم موت سے ایسی مجھے امید نہیںزندگی تو نے تو دھوکے پہ دیا ہے دھوکہkam se kam maut se aisī mujhe ummīd nahīñzindagī tū ne to dhoke pe diyā hai dhoka
- کون یہ لے رہا ہے انگڑائیآسمانوں کو نیند آتی ہےkaun ye le rahā hai angṛā.īāsmānoñ ko nīnd ātī hai