یہ موت و عدم کون و مکاں اور ہی کچھ ہے
Firaq Gorakhpuri (1896–1982)یہ موت و عدم کون و مکاں اور ہی کچھ ہے
سن لے کہ مرا نام و نشاں اور ہی کچھ ہے
اتنا تو یقیں ہے کہ وہی ہیں تری آنکھیں
اس پر بھی مگر وہم و گماں اور ہی کچھ ہے
شعلوں میں وہ انداز کہاں سوز نہاں کے
اٹھتا ہے جو دل سے وہ دھواں اور ہی کچھ ہے
اک کیفیت راز ہے غم ہے نہ مسرت
اس بزم محبت میں سماں اور ہی کچھ ہے
جو مرحلۂ قربت و دوری سے گزر جائے
سنتے ہیں کہ وہ جذب نہاں اور ہی کچھ ہے
یا درد کے نغموں میں وہی ہے تری آواز
یا پردۂ ساز رگ جاں اور ہی کچھ ہے
یہ نیند کا جھونکا تو نہیں بے خودیٔ عشق
ہشیار کہ وہ خواب گراں اور ہی کچھ ہے
اب موت بھی ہے گرد رہ کوچۂ جاناں
ان منزلوں میں عمر رواں اور ہی کچھ ہے
اچھے ہیں جہاں ہیں مگر اے دامن جاناں
پاتے ہیں جو تجھ میں وہ اماں اور ہی کچھ ہے
بجلی کے چمکنے میں کہاں عشق کی گرمی
وہ شعلۂ لرزاں و تپاں اور ہی کچھ ہے
جو زخم کھلا دے جو مرا رنگ اڑا دے
وہ فصل گل و فصل خزاں اور ہی کچھ ہے
اک خواب پریشاں سے ہیں اس دور کے آثار
ہشیار کہ اب رنگ جہاں اور ہی کچھ ہے
اک چیز ہے نیرنگیٔ روداد محبت
لیکن بحدیث دگراں اور ہی کچھ ہے
شاعر ہیں فراقؔ اور بھی اس دور میں لیکن
یہ رنگ بیاں رنگ زباں اور ہی کچھ ہے
ye maut-o-adam kaun-o-makan aur hi kuchh hai
sun le ke mira nam-o-nishan aur hi kuchh hai
itna to yaqin hai ke wahi hain tiri ankhen
us par bhi magar wahm-o-guman aur hi kuchh hai
sholon mein wo andaz kahan soz-e-nihan ke
uthta hai jo dil se wo dhuan aur hi kuchh hai
ik kaifiyat raz hai gham hai na masarrat
is bazm-e-mohabbat mein saman aur hi kuchh hai
jo marhala-e-qurbat-o-duri se guzar jae
sunte hain ke wo jazb-e-nihan aur hi kuchh hai
ya dard ke naghmon mein wahi hai tiri awaz
ya parda-e-saz-e-rag jan aur hi kuchh hai
ye nind ka jhonka to nahin be khudi-e-ishq
hushyar ke wo khwab-e-giran aur hi kuchh hai
ab maut bhi hai gard-e-rah kucha-e-janan
in manzilon mein umr-e-rawan aur hi kuchh hai
achchhe hain jahan hain magar ai daman janan
pate hain jo tujh mein wo aman aur hi kuchh hai
bijli ke chamakne mein kahan ishq ki garmi
wo shola-e-larzan-o-tapan aur hi kuchh hai
jo zakhm khula de jo mira rang ura de
wo fasl-e-gul-o-fasl-e-khizan aur hi kuchh hai
ik khwab-e-pareshan se hain is daur ke asar
hushyar ke ab rang-e-jahan aur hi kuchh hai
ik chiz hai nairangi-e-rudad-e-mohabbat
lekin bahdes-e-digaran aur hi kuchh hai
shayar hain firaq aur bhi is daur mein lekin
ye rang-e-bayan rang zaban aur hi kuchh hai