Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Faisal Ajmi

b. 1951

Poems

Meter
  1. us ko jāne de agar jātā haizahr kam ho to utar jātā hai
  2. us ne dekhā jo mujhe ālam-e-hairānī meñgir paṛā hāth se ā.īna pareshānī meñ
  3. un logoñ meñ rahne se ham be ghar achchhe thekuchh din pahle tak to sab ke tevar achchhe the
  4. terī ānkheñ na raheñ ā.īna ḳhāna mire dostkitnī tezī se badaltā hai zamāna mire dost
  5. harf apne hī ma.ānī kī tarah hotā haipyās kā zā.iqa pānī kī tarah hotā hai
  6. dukh nahīñ hai ke jal rahā hūñ maiñraushnī meñ badal rahā hūñ maiñ
  7. raḳht-e-safar hai is meñ qarīna bhī chāhiyeānkheñ bhī chāhiye dil-e-bīnā bhī chāhiye
  8. shāmyānoñ kī vazāhat to nahīñ kī ga.ī haiāj ḳhairāt hai da.avat to nahīñ kī ga.ī hai
  9. kisī ne kaise ḳhazāne meñ rakh liyā hai mujheuṭhā ke agle zamāne meñ rakh liyā hai mujhe
  10. gir jā.e jo dīvār to mātam nahīñ kartekarte haiñ bahut log magar ham nahīñ karte
  11. mujh ko ye fikr kab hai ke sāya kahāñ gayāsūraj ko ro rahā hūñ ḳhudāyā kahāñ gayā
  12. maiñ zaḳhm khā ke girā thā ke thām us ne liyāmuāf kar ke mujhe intiqām us ne liyā
  13. maiñ ġhār meñ thā aur havā ke baġhair thāik roz āftāb ziyā ke baġhair thā
  14. hijr maujūd hai fasāne meñsānp hotā hai har ḳhazāne meñ
  15. har shaḳhs pareshān hai ghabrāyā huā haimahtāb baṛī der se gahnāyā huā hai
  16. ye bhī nahīñ ke dast-e-duā tak nahīñ gayāmerā savāl-e-ḳhalq-e-ḳhudā tak nahīñ gayā
  17. adāvatoñ meñ jo ḳhalq-e-ḳhudā lagī huī haimohabbatoñ ko koī bad duā lagī huī hai