مجھ کو یہ فکر کب ہے کہ سایہ کہاں گیا
Faisal Ajmi (b. 1951)مجھ کو یہ فکر کب ہے کہ سایہ کہاں گیا
سورج کو رو رہا ہوں خدایا کہاں گیا
پھر آئنے میں خون دکھائی دیا مجھے
آنکھوں میں آ گیا تو چھپایا کہاں گیا
آواز دے رہا تھا کوئی مجھ کو خواب میں
لیکن خبر نہیں کہ بلایا کہاں گیا
کتنے چراغ گھر میں جلائے گئے نہ پوچھ
گھر آپ جل گیا ہے جلایا کہاں گیا
یہ بھی خبر نہیں ہے کہ ہم راہ کون ہے
پوچھا کہاں گیا ہے بتایا کہاں گیا
وہ بھی بدل گیا ہے مجھے چھوڑنے کے بعد
مجھ سے بھی اپنے آپ میں آیا کہاں گیا
تجھ کو گنوا دیا ہے مگر اپنے آپ کو
برباد کر دیا ہے گنوایا کہاں گیا
mujh ko ye fikr kab hai ke saya kahan gaya
suraj ko ro raha hun khudaya kahan gaya
phir aine mein khun dikhai diya mujhe
ankhon mein a gaya to chhupaya kahan gaya
awaz de raha tha koi mujh ko khwab mein
lekin khabar nahin ke bulaya kahan gaya
kitne charagh ghar mein jalae gae na puchh
ghar ap jal gaya hai jalaya kahan gaya
ye bhi khabar nahin hai ke ham rah kaun hai
puchha kahan gaya hai bataya kahan gaya
wo bhi badal gaya hai mujhe chhorne ke baad
mujh se bhi apne ap mein aya kahan gaya
tujh ko ganwa diya hai magar apne ap ko
barbad kar diya hai ganwaya kahan gaya