حرف اپنے ہی معانی کی طرح ہوتا ہے
Faisal Ajmi (b. 1951)حرف اپنے ہی معانی کی طرح ہوتا ہے
پیاس کا ذائقہ پانی کی طرح ہوتا ہے
میں بھی رکتا ہوں مگر ریگ رواں کی صورت
میرا ٹھہراؤ روانی کی طرح ہوتا ہے
تیرے جاتے ہی میں شکنوں سے نہ بھر جاؤں کہیں
کیوں جدا مجھ سے جوانی کی طرح ہوتا ہے
جسم تھکتا نہیں چلنے سے کہ وحشت کا سفر
خواب میں نقل مکانی کی طرح ہوتا ہے
چاند ڈھلتا ہے تو اس کا بھی مجھے دکھ فیصلؔ
کسی گم گشتہ نشانی کی طرح ہوتا ہے
harf apne hi maani ki tarah hota hai
pyas ka zaiqa pani ki tarah hota hai
main bhi rukta hun magar reg-e-rawan ki surat
mera thahrao rawani ki tarah hota hai
tere jate hi mein shiknon se na bhar jaun kahin
kyun juda mujh se jawani ki tarah hota hai
jism thakta nahin chalne se ke wahshat ka safar
khwab mein naql-e-makani ki tarah hota hai
chand dhalta hai to us ka bhi mujhe dukh faisal
kisi gum gashta nishani ki tarah hota hai