Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ejaz Ansari

b. 1955

Poems

Meter
  1. apne muhāfizoñ se hirāsāñ hai zindagīis zindagī ke hāl pe hairāñ hai zindagī
  2. bichhaṛ ke tujh se mujhe dukh to hai malāl to haimagar ye pyār nibhānā bhī ik kamāl to hai
  3. tamām shahr ko hairān karne vālā hūñmaiñ apnī maut kā elān karne vālā hūñ
  4. ḳhudā use bhī kisī din zavāl detā haizamāna jis ke hunar kī misāl detā hai
  5. rāsta be zabāñ be sadā bhī nahīñkoī muṛ kar magar dekhtā bhī nahīñ
  6. zindagī ik sazā lage hai mujhejab se to be vafā lage hai mujhe
  7. sab kuchh kārobārī hailahja tak bāzārī hai
  8. ajab hī kyā hai agar dhund meñ ġhubār meñ haivo shaḳhs apne banā.e hue hisār meñ hai
  9. ġham-e-hayāt kā manzar badalne vālā haiḳhushī manā.o ke sūraj nikalne vālā hai
  10. kho jā.ūñ musht-e-ḳhāk meñ aisā nahīñ hūñ maiñdariyā hūñ apnī zāt meñ qatra nahīñ hūñ maiñ
  11. kyā ḳhabar thī ek din ye hādisa ho jā.egāumr bhar chāhā jise vo be vafā ho jā.egā
  12. maut har lamha intizār meñ haizindagī āj bhī udhār meñ hai
  13. hāth maiñ apne hifāzat kā asā le jānāghar se jānā to buzurgoñ kī duā le jānā
  14. har ik tahrīr nafrat kī miṭānā chāhtā hūñ maiñmohabbat hī mohabbat kā fasāna chāhtā hūñ maiñ
  15. hīrā hai ke shīshe kā jigar kāṭ rahā haibeṭe kī paṛhā.ī pe kiyā jis ne bahut ḳharch
  16. ye terī yād hai terā ḳhayāl hai kyā haiandherī rāt hai phir bhī bahut ujālā hai