Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ehsanul Haq Mazhar

Poems

Meter
  1. is liye tez bhāgtā hūñ maiñapne pīchhe paṛā huā hūñ maiñ
  2. tum samajhte ho zamāne ke liye ātā thāmaiñ tumheñ sher sunāne ke liye ātā thā
  3. tum abas ḍhūñḍhte phirte ho kahāñ rasta thāham ne dīvār uṭhā dī hai jahāñ rasta thā
  4. jo thakāvaṭ pe mabnī nīnd nahīñmaiñ samajhtā hūñ achchhī nīnd nahīñ
  5. ḳhumār qurb meñ is bāt kā ḳhayāl na thāhamāre zehn meñ kuchh aur thā visāl na thā
  6. zindagī aur ghar kā naqsha ek jaisā ho rahā haikamre baṛhte jā rahe haiñ sehn-e-chhoṭā ho rahā hai
  7. gard paṛne pe bhī sarshār huā kartā thāek raste se mujhe pyār huā kartā thā
  8. vo pareshānī-e-sar dasht-e-adam hai ham kobāġh-e-rizvān bhī mil jā.e to kam hai ham ko
  9. ye jo lagtā hai zarūrat se bhī kam bolte haiñham ko vo shaḳhs bulātā hai to ham bolte haiñ
  10. is mohabbat se mirī samt koī dekhtā hairuk bhī jātā hūñ kabhī dasht ko jātā havā meñ
  11. tum ādatan kahoge use yār ma.azaratlekin ye etirāf ke zumre meñ ā.egā
  12. rāste aur bhī jāte haiñ idhar ko lekinvo mire dil se guzartā huā ghar jātā hai
  13. zindagī us kī amānat thī vagarna maz.harham use apne tasarruf meñ bhī lā sakte the
  14. fī zamāna ye muravvat bhī bahut hai maz.harun ko jānā thā magar dost bahāne se ga.e