Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Chandrabhan Khayal

b. 1946

Poems

  1. āj phir dard uṭhā dil ke nihāñ ḳhāne meñāj phir log satāne ko chale ā.eñge
  2. āj phir ghāt meñ baiṭhā hai samundar kā sukūtham ko ik dūsre se dūr hī rahnā hogā
  3. āvāra gard lamhe yūñ be qarār bhaṭkeñjaise parind pyāse dīvāna vār bhaṭkeñ
  4. agar qarīb se dekho to jān logī tumjahāñ hai sānp kī sūrat vajūd se lipṭā
  5. bastī kī bīmār galī meñshahnā.ī jab jab gūnjī hai
  6. phail kar phir shab-e-tārīk huī bahr-e-siyāhqatra qatra lab-e-tanhā.ī se ṭapke ehsās
  7. tanhā baiṭhā hūñ kamre meñ māzī kī tasvīr liyeab to anjāne qadmoñ kī āhaṭ se jī ḍartā hai
  8. jang dhartī pe sitāroñ ke liye jārī haihaif sad haif ke har shai pe junūñ tārī hai
  9. dil pahāṛoñ par chalā jā.e ke maidānoñ meñ hobhīṛ meñ logoñ kī yā ḳhālī shabistānoñ meñ ho
  10. diloñ meñ dard dimāġhoñ meñ kashmakash kā dhuāñjabīñ pe ḳhāk nigāhoñ meñ ġham kī tārīkī
  11. sab kuchh yād kar rahā hūñ maiñkoī bāt bhalā dene ko
  12. qarīb-e-sub.h sadā-e-shikast-e-jāñ ubhrīlaboñ kā zahr achānak pighal gayā āḳhir
  13. khokhle sīnoñ meñ bahtā hai masīhā.ī azābḳhair-o-shar ke masale sab āj bhī ham dosh haiñ
  14. lamha lamha ḳhūnīñ ḳhanjarsadiyāñ jībheñ haiñ sānpoñ kī
  15. lahū nosh lamhoñ ke bedār sā.euse gher leñge sināneñ uṭhā.e
  16. merī paslī meñ jamā hai ka.ī shahroñ kā sukūtjaise soyā ho kisī ġhār meñ tahzīb kā bhūt
  17. nīnd ke ta.āqub meñdūr dūr tak lā hāsil