Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Aamir Azher

b. 1989

Poems

Meter
  1. is masāfat meñ kitne dar guzreterī manzil se ham kidhar guzre
  2. badan utār ke kapṛe badal rahā hai koīna.ī sarisht pahan kar nikal rahā hai koī
  3. baṛe din se hare haiñ pāt yahāñkoī ṭiktī nahīñ hai bāt yahāñ
  4. bahut mushkil kī ḳhvāhish ko kabhī āsāñ nahīñ dekhānayā insāñ banāne meñ koī insāñ nahīñ dekhā
  5. paṛh legā koī rāt kī roī huī ānkheñhar samt haiñ ārām se soī huī ānkheñ
  6. ṭhahrā na kuchh yahāñ pe jo āyā vo bik gayābāzār meñ bas ek ḳharīdār ṭuk gayā
  7. dard-e-dil hai na falsafa mire pāsdāl roṭī kā masala mire pās
  8. dastaras chhin jā.egī aur naqsh-e-pā kho jā.eñgeham vahāñ par baiṭhe baiṭhe ret ke ho jā.eñge
  9. dekho ye us kā dekhnā dekhe se ā.egāaur phir jo dekh loge to dekhā na jā.egā
  10. sitāroñ kī gintī hai ham jānte haiñabhī rāt bāqī hai ham jānte haiñ
  11. kab se ādhā hai māhtāb mirāpūrā hotā nahīñ hai ḳhvāb mirā
  12. kuchh bhī nahīñ rahā hai ahd-e-vafā ke thādillī jo shahr-e-dil thā jo kuchh bhī thā ke thā
  13. kyā kisī rābte meñ rakhā haiham ne dil rāste meñ rakhā hai
  14. guzre hue vaqtoñ kā nishāñ thā to kahāñ thāham se jo nihāñ hai vo ayāñ thā to kahāñ thā
  15. maiñ rahā umr bhar yahīñ kā rahāmaiñ kināroñ pe bhī zamīñ kā rahā
  16. nāravā sabt kiyā kin kā ishāra kar kedekhnā hai ye tamāshā bhī dobāra kar ke
  17. nāz par ye gudāz kaise haitū haqīqat majāz kaise hai
  18. ham pe lāzim thā pahuñchnā so yahāñ tak pahuñcheshauq ruktā hī nahīñ chāhe jahāñ tak pahuñche
  19. chalo ek kām karte haiñaise bāt karte haiñ
  20. maiñ tum se mohabbat kartā hūñ kartā hūñ mohabbat tum se maiñis bāt kī koī had hai kyā kahtā hī rahūñ har lahje meñ